Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ai gham-e-dil kya karun

Syed Mohammad Jafri

ai gham-e-dil kya karun

Syed Mohammad Jafri

MORE BYSyed Mohammad Jafri

    Interesting Fact

    The nazm was written in 1958 when martial law was imposed

    itnī guzrī hai girāñ chīzoñ arzānī mujhe

    ho gayā hai taaza saudā-e-ġhazal-ḳhvānī mujhe

    duudh meñ bilkul nazar aatā nahīñ paanī mujhe

    dil ne kar rakkhā hai mahv-e-sad-pareshānī mujhe

    ''ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ''

    kaam dhandā kuchh nahīñ dil kis tarah bahlāūñ maiñ

    kyuuñ na leader ban ke saarī qaum ko bahkā.ūñ maiñ

    jab nahīñ dhandā to chandā karūñ aur khā.ūñ maiñ

    scrēning kametī ke na haath aa jā.ūñ maiñ

    ''ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ''

    kyuuñ na editor banūñ aḳhbār-e-gauhar-bār

    aur qalam ko ruup duuñ chaltī huī talvār

    haath meñ shamla ho sab ashrāf dastār

    marshal-law meñ magar pahlā hai TukḌā maar

    ''ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ''

    sochtā huuñ phir ki haj kar aa.uuñ smuggler banūñ

    māl-e-dīn o māl-e-duniyā baḌā dealer banūñ

    mulk ke andar banūñ mulk ke bāhar banūñ

    al-ġharaz jo kuchh banūñ maiñ fauj se bach kar banūñ

    ''ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ''

    kyā ḳhabar thī qīmateñ yuuñ hoñgī sastī ek din

    ''rañg lā.egī hamārī fāqa-mastī ek din''

    chor-bāzārī miT jā.egī hastī ek din

    hogī chevrolet pe bhī to-let taḳhtī ek din

    ''ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ''

    bahr ke siine se sonā tak ugalvāyā gayā

    gandum-e-ḳhalvat-nashīñ bāzār meñ laayā gayā

    aur zaḳhīra-bāz se chakkī meñ pisvāyā gayā

    naf.a-ḳhoroñ divāla tak nikalvāyā gayā

    ''ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ''

    haa.e kashkol-e-gadā.ī le ke ab jā.egā kaun

    laal gandum ke ham kāloñ ko khilvā.egā kaun

    jis ko amrīcī suar khāte the vo khā.egā kaun

    saath meñ gandum ke mister ghun ko pisvā.egā kaun

    ''ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ''

    ġhair-mulkī maal ko rotī haiñ ab tak bībayāñ

    aur har import ke licence ko un ke miyāñ

    ġhair bankoñ meñ jo daulat hai vo aa.egī yahāñ

    ''yād thiiñ ham ko bhī rañgā-rañg bazm-ārā.iyāñ''

    ''ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ''

    maiñ sab kuchh chhoḌ duuñ aur chor-bāzārī karūñ

    zindagī film meñ aisī adākārī karūñ

    donoñ hāthoñ se kamā kar uzr-e-nādārī karūñ

    jab hukūmat tex māñge aah aur zaarī karūñ

    ''ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ''

    itni guzri hai giran chizon ki arzani mujhe

    ho gaya hai taza sauda-e-ghazal-KHwani mujhe

    dudh mein bilkul nazar aata nahin pani mujhe

    dil ne kar rakkha hai mahw-e-sad-pareshani mujhe

    ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun

    kaam dhanda kuchh nahin dil kis tarah bahlaun main

    kyun na leader ban ke sari qaum ko bahkaun main

    jab nahin dhanda to chanda hi karun aur khaun main

    screening ki kameti ke na hath aa jaun main

    ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun

    kyun na editor banun aKHbar-e-gauhar-bar ka

    aur qalam ko rup dun chalti hui talwar ka

    hath mein shamla ho sab ashraf ki dastar ka

    marshal-law mein magar pahla hai TukDa mar ka

    ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun

    sochta hun phir ki haj kar aaun smuggler banun

    mal-e-din o mal-e-duniya ka baDa dealer banun

    mulk ke andar banun ya mulk ke bahar banun

    al-gharaz jo kuchh banun main fauj se bach kar banun

    ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun

    kya KHabar thi qimaten yun hongi sasti ek din

    rang laegi hamari faqa-masti ek din

    chor-bazari ki miT jaegi hasti ek din

    hogi chewrolet pe bhi to-let ki taKHti ek din

    ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun

    bahr ke sine se sona tak ugalwaya gaya

    gandum-e-KHalwat-nashin bazar mein laya gaya

    aur zaKHira-baz se chakki mein piswaya gaya

    nafa-KHoron ka diwala tak nikalwaya gaya

    ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun

    hae kashkol-e-gadai le ke ab jaega kaun

    lal gandum la ke hum kalon ko khilwaega kaun

    jis ko amrici suar khate the wo khaega kaun

    sath mein gandum ke mister ghun ko piswaega kaun

    ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun

    ghair-mulki mal ko roti hain ab tak bibayan

    aur har import ke licence ko un ke miyan

    ghair bankon mein jo daulat hai wo aaegi yahan

    yaad thin hum ko bhi ranga-rang bazm-araiyan

    ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun

    ya main sab kuchh chhoD dun aur chor-bazari karun

    zindagi ki film mein aisi adakari karun

    donon hathon se kama kar uzr-e-nadari karun

    jab hukumat tex mange aah aur zari karun

    ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun

    Source:

    Shokhi-e-Tahrir (Pg. 120)

    • Author: Sayed Mohammad Jafri
      • Edition: 1985
      • Publisher: Malik Norani, Maktaba Daniyal Viktoria Chaimber, 20, Abdullah Haroon Road, Sadar Krachi
      • Year of Publication: 1985
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now