Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ajnabi farmaish

Khursheed Akbar

ajnabi farmaish

Khursheed Akbar

MORE BYKhursheed Akbar

    ajnabī tujh se ta.alluq sila ḳhuub hai ye

    terī ḳhvāhish hai ki har roz na.ī nazm likhūñ tere naam

    merī koshish bhī ajab hai lekin

    rose taaza na.e jazbāt kahāñ se lā.ūñ

    kore alfāz sauġhāt kahāñ se lā.ūñ

    ḳhushk āñkhoñ ke kaToroñ se maiñ barsāt kahāñ se lā.ūñ

    ajnabī batā nusḳha-e-nāyāb koī

    ajnabī mujh ko dikhā ḳhitta-e-shādāb koī

    barg-e-āvāra sūrat huuñ havā zad par

    maiñ ki raqsā huuñ abhī garm bagūloñ ke saath

    ajnabī bhī mire raqs-e-falak-rañg meñ shāmil ho

    shā.irī kyā hai mirī jaan hāsil ho

    mirā jism qabā mirī ruuh pur-nūr ġhizā

    shahd se mīThī mare lab duā

    ajnabī kaun hai mere sivā mujh se judā

    ajnabi tujh se talluq ka sila KHub hai ye

    teri KHwahish hai ki har roz nai nazm likhun tere nam

    meri koshish bhi ajab hai lekin

    rose taza nae jazbaat kahan se laun

    kore alfaz ki saughat kahan se laun

    KHushk aankhon ke kaToron se main barsat kahan se laun

    ajnabi tu hi bata nusKHa-e-nayab koi

    ajnabi mujh ko dikha KHitta-e-shadab koi

    barg-e-awara ki surat hun hawa ki zad par

    main ki raqsa hun abhi garm bagulon ke sath

    ajnabi tu bhi mere raqs-e-falak-rang mein shamil ho ja

    shairi kya hai meri jaan ka hasil ho ja

    tu mera jism qaba tu meri ruh ki pur-nur ghiza

    shahd se miThi mare lab ki dua

    ajnabi kaun hai tu mere siwa mujh se juda

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now