Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ajnabi kis KHwab ki duniya se aae ho

Naseer Ahmad Nasir

ajnabi kis KHwab ki duniya se aae ho

Naseer Ahmad Nasir

MORE BYNaseer Ahmad Nasir

    ajnabī kis ḳhvāb duniyā se aa.e ho

    thake lagte ho

    āñkhoñ meñ ka.ī sadiyoñ nīndeñ jāgtī haiñ

    fāsloñ gard palkoñ par jamī hai

    ajnabī! kaisī masāfat se guzar kar aa rahe ho

    kaun se desoñ ke qisse

    dard ḳhāmosh lai meñ rahe ho

    duur se nazdīk aate rahe ho

    ajnabī aao!

    kisī agle safar raat se pahle

    zarā ārām kar lo

    phir suneñge dāstāñ tum se anokhī sar-zamīnoñ

    havā meñ tairte rañgīñ makānoñ makīnoñ

    paḌāv umr bhar hai

    alaao tez hone do

    mohabbat-ḳhez hone do

    shanāsā ḳhvāhishoñ ḳhushbueñ jalne lagī haiñ

    ajnabiyat qurbatoñ ke lams meñ sarshār

    gum-gashta zamāne DhūñDhtī hai

    zindagī dukh dard bhī qarnoñ purāne DhūñDhtī hai!!

    ajnabi kis KHwab ki duniya se aae ho

    thake lagte ho

    aankhon mein kai sadiyon ki ninden jagti hain

    faslon ki gard palkon par jami hai

    ajnabi! kaisi masafat se guzar kar aa rahe ho

    kaun se deson ke qisse

    dard ki KHamosh lai mein ga rahe ho

    dur se nazdik aate ja rahe ho

    ajnabi aao!

    kisi agle safar ki raat se pahle

    zara aaram kar lo

    phir sunenge dastan tum se anokhi sar-zaminon ki

    hawa mein tairte rangin makanon ki makinon ki

    paDaw umr bhar ka hai

    alao tez hone do

    mohabbat-KHez hone do

    shanasa KHwahishon ki KHushbuen jalne lagi hain

    ajnabiyat qurbaton ke lams mein sarshaar

    gum-gashta zamane DhunDhti hai

    zindagi dukh dard bhi qarnon purane DhunDhti hai!!

    Source:

    Arabchi so gia hai (Pg. 75)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now