Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aks

MORE BYNeelam Malik

    merā kamra ba-zāhir saada hai

    halkī zardī-mā.il dīvāreñ

    safed chhat

    jis pe jamī gard tah ne us safedī ko maañd kar rakhā hai

    us meñ do logoñ bistar aur

    us ke ain sāmne do logoñ ke baiThne vaalā maTiyāle se rang sofa paḌā hai

    daa.eñ dīvār par khiḌkī hai

    khiḌkī pe parda nahīñ

    yūñhī āsmānī se rang chādar laTkā rakhī hai

    duniyā to musāfir-ḳhāna hai

    jaane kab raḳht-e-safar bāñdhnā paḌe

    to kaun ārā.ish kartā phire is sarā.e

    bistar baa.eñ jānib ek baḌā ā.īna hai

    jo mere kamre sab se ajiib chiiz hai

    us meñ ek aks hai jo hū-bahū mere jaisā hai

    jo mere batā.e binā jāntā hai ki maiñ kyā karne vaalī huuñ

    kyā bolne vaalī huuñ

    maiñ ye nahīñ jāntī ki use mere man andar ke haal bhī ḳhabar hai

    mahaz zāhir ko jāntā hai

    sach kahūñ

    mujhe to vo ḳhud apne aap se bhī anjān lagtā hai

    jaane kyoñ vo merī naql karte kabhī thaktā nahīñ

    muskurā ke dekhūñ to muskurātā hai

    savāl karūñ to javāb nahīñ detā

    balki ḳhud bhī savāl kartā hai

    ghuur ke dekhūñ to vo bhī ghūrtā hai

    mere māthe pe shikan ubhre

    tafakkur ġhusse se

    to us māthā bhī shikan-ālūd ho jaatā hai

    ek din ġhusse meñ maiñ ne use gaalī to us ne bhī turant gaalī bak

    hai gustāḳh bad-lihāz

    kal merī dekhā dekhī vo bhī merī ik ġhazal gungunāne lagā

    to bahut pyaar aaya mujhe us par

    be-sāḳhta us māthā chūmnā chāhā to us ne mere laboñ pe lab rakh diye

    meñ bad-maza ho kar pīchhe haTī

    tab se musalsal dil meñ ek armān machal rahā hai

    ki kaash maiñ apne aks māthā chuum sakūñ

    mera kamra ba-zahir sada sa hai

    halki zardi-mail diwaren

    safed chhat

    jis pe jami gard ki tah ne us ki safedi ko mand kar rakha hai

    us mein do logon ka bistar aur

    us ke ain samne do logon ke baiThne wala maTiyale se rang ka sofa paDa hai

    daen diwar par khiDki hai

    khiDki pe parda nahin

    yunhi aasmani se rang ki chadar laTka rakhi hai

    duniya to musafir-KHana hai na

    jaane kab raKHt-e-safar bandhna paDe

    to kaun aaraish karta phire is sarae ki

    bistar ki baen jaanib ek baDa sa aaina hai

    jo mere kamre ki sab se ajib chiz hai

    us mein ek aks hai jo hu-bahu mere jaisa hai

    jo mere batae bina jaanta hai ki main kya karne wali hun

    kya bolne wali hun

    main ye nahin jaanti ki use mere man andar ke haal ki bhi KHabar hai

    ya mahaz zahir ko jaanta hai

    sach kahun

    mujhe to wo KHud apne aap se bhi anjaan lagta hai

    jaane kyon wo meri naql karte kabhi thakta hi nahin

    muskura ke dekhun to muskuraata hai

    sawal karun to jawab nahin deta

    balki KHud bhi sawal karta hai

    ghur ke dekhun to wo bhi ghurta hai

    mere mathe pe shikan ubhre

    tafakkur ya ghusse se

    to us ka matha bhi shikan-alud ho jata hai

    ek din ghusse mein main ne use gali di to us ne bhi turant gali bak di

    hai na gustaKH bad-lihaz

    kal hi meri dekha dekhi wo bhi meri hi ek ghazal gungunane laga

    to bahut pyar aaya mujhe us par

    be-saKHta us ka matha chumna chaha to us ne mere labon pe lab rakh diye

    mein bad-maza si ho kar pichhe haTi

    tab se musalsal dil mein ek arman machal raha hai

    ki kash main apne aks ka matha chum sakun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now