Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

andesha

Qateel Shifai

andesha

Qateel Shifai

MORE BYQateel Shifai

    sandalīñ jism ḳhushbū se mahaktī huī raat

    mujh se kahtī hai yahīñ aaj baserā kar le

    gar tirī niiñd ujāloñ parastār nahīñ

    apne ehsās pe zulfoñ añdherā kar le

    maiñ ki din bhar chakā-chauñd se uktāyā huā

    kisī ġhunche tarah dhuup meñ kumhlāyā huā

    ik na.ī chhāñv meñ sustāne ko aa baiThā huuñ

    gardish-e-dahr ke ālām se ghabrāyā huā

    sochtā huuñ ki yahīñ aaj baserā kar luuñ

    sub.h ke saath kaḌī dhuup khaḌī hai sar par

    kyuuñ na is abr ko kuchh aur ghanerā kar luuñ

    jaane ye raat akele meñ kaTe na kaTe

    kyuuñ na kuchh der shabistāñ meñ añdherā kar luuñ

    lekin is raat ye baat na baḌh jaa.e kahīñ

    tujh se mil kar ye mire dil ko lagā hai dhaḌkā

    raakh ho jā.ūñgā maiñ sub.h se pahle pahle

    khul ke siine meñ jo ehsās sho.ala bhaḌkā

    sandalin jism ki KHushbu se mahakti hui raat

    mujh se kahti hai yahin aaj basera kar le

    gar teri nind ujalon ki parastar nahin

    apne ehsas pe zulfon ka andhera kar le

    main ki din bhar ki chaka-chaund se uktaya hua

    kisi ghunche ki tarah dhup mein kumhlaya hua

    ek nai chhanw mein sustane ko aa baiTha hun

    gardish-e-dahr ke aalam se ghabraya hua

    sochta hun ki yahin aaj basera kar lun

    subh ke sath kaDi dhup khaDi hai sar par

    kyun na is abr ko kuchh aur ghanera kar lun

    jaane ye raat akele mein kaTe ya na kaTe

    kyun na kuchh der shabistan mein andhera kar lun

    lekin is raat ki ye baat na baDh jae kahin

    tujh se mil kar ye mere dil ko laga hai dhaDka

    rakh ho jaunga main subh se pahle pahle

    khul ke sine mein jo ehsas ka shoala bhaDka

    Source:

    kalam-e-qateel shifai (Pg. 259)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now