Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

anjam qissa-go ka

Zubair Rizvi

anjam qissa-go ka

Zubair Rizvi

MORE BYZubair Rizvi

    purānī baat hai

    lekin ye anhonī lagtī hai

    vo shab va.ade shab thī

    gaañv chaupāl puurī bhar chukī thī

    taaza huqqe har taraf rakkhe hue the

    qissa-go ne ek shab pahle kahā thā

    sāhibo tum apnī nīndeñ bistaraoñ par chhoḌ kar aanā

    maiñ kal shab tumheñ apne salaf āḳhirī qissa sunā.ūñgā

    jigar ko thaam kar kal raat tum chaupāl par aanā

    vo shab va.ade shab thī

    gaañv chaupāl puurī bhar chukī thī

    raat gahrī ho chalī thī

    huqqe ThanDe ho ga.e the lālTeneñ bujh ga.ī thiiñ

    gaañv ke sab mard qissa-go raah takte thak ga.e the

    duur tārīkī meñ gīdaḌ aur kutte mil ke nauha kar rahe the

    daf.atan bijlī kaundī

    raushnī meñ sab ne dekhā

    qissa-go bargad tale behis paḌā thā

    us āñkheñ āḳhirī qissa sunāne taḌap meñ jāgtī thiiñ

    par zabāñ us kaTī thī

    raat vo bas āḳhirī thī

    qissa-go an-kahā apne salaf

    āḳhirī qissa laboñ par kāñptā thā

    purani baat hai

    lekin ye anhoni si lagti hai

    wo shab wade ki shab thi

    ganw ki chaupal puri bhar chuki thi

    taza huqqe har taraf rakkhe hue the

    qissa-go ne ek shab pahle kaha tha

    sahibo tum apni ninden bistaraon par chhoD kar aana

    main kal ki shab tumhein apne salaf ka aaKHiri qissa sunaunga

    jigar ko tham kar kal raat tum chaupal par aana

    wo shab wade ki shab thi

    ganw ki chaupal puri bhar chuki thi

    raat gahri ho chali thi

    huqqe ThanDe ho gae the lalTenen bujh gai thin

    ganw ke sab mard qissa-go ki rah takte thak gae the

    dur tariki mein gidaD aur kutte mil ke nauha kar rahe the

    dafatan bijli si kaundi

    raushni mein sab ne dekha

    qissa-go bargad tale behis paDa tha

    us ki aankhen aaKHiri qissa sunane ki taDap mein jagti thin

    par zaban us ki kaTi thi

    raat wo bas aaKHiri thi

    qissa-go ka an-kaha apne salaf ka

    aaKHiri qissa labon par kanpta tha

    Source:

    Sang-ge-Sada (Pg. 84)

    • Author: Zubair Razvi
      • Edition: 2014
      • Publisher: Zehne Jadid, New Delhi
      • Year of Publication: 2014
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now