aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apne dariya ki pyas

Farigh Bukhari

apne dariya ki pyas

Farigh Bukhari

MORE BYFarigh Bukhari

    sadāqatoñ ke junūñ

    ham aisā ā.īna haiñ

    jo apne aksoñ maan kho kar

    shikastagī azaab sahne meñ mubtalā hai

    ham aise tūfāñ mājrā haiñ

    jo TūTte phūTte chaTaḳhte se

    apne a.asāb ke bikharne aas meñ haiñ

    jo tishna-lab sāhiloñ mānind

    apne dariyā pyaas meñ haiñ

    jo dasht-e-imkān havāoñ

    barguzīda magar darīda libās meñ haiñ

    sadaqaton ke junun ka

    hum aisa aaina hain

    jo apne akson ka man kho kar

    shikastagi ka azab sahne mein mubtala hai

    hum aise tufan ka majra hain

    jo TuTte phuTte chaTaKHte se

    apne aasab ke bikharne ki aas mein hain

    jo tishna-lab sahilon ki manind

    apne dariya ki pyas mein hain

    jo dasht-e-imkan ki hawaon ki

    barguzida magar darida libas mein hain

    Source:

    siip-volume-47 (Pg. 113)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now