asl KHatra
nahīñ ye mumkin nahīñ
ye sab kār-e-rā.egāñ hai
kahāñ se lā.eñge ham bhalā itnī ghanTiyāñ
jitnī billiyāñ haiñ
maiñ ek būḌhā udaas chūhā
bas itnā kah kar
tamām kartā huuñ baat apnī
vo sirf billī nahīñ jise ham ko dekhnā hai
vo aisā ḳhatra nahīñ hai shāyad
ki us kī har chaal se to ham phir bhī āshnā haiñ
magar vo chūhā
gale meñ ghanTī jo Daal kar aa.ine ke aage khaḌā huā hai
jo ek tamġhoñ kī shakl meñ us ko dekhtā hai
vo asl ḳhatra hai
jis kā rakhnā hai dhyān ham ko
tamām
ḳhūñḳhār billiyoñ kī hai ruuh us meñ
nahin ye mumkin nahin
ye sab kar-e-raegan hai
kahan se laenge hum bhala itni ghanTiyan
jitni billiyan hain
main ek buDha udas chuha
bas itna kah kar
tamam karta hun baat apni
wo sirf billi nahin jise hum ko dekhna hai
wo aisa KHatra nahin hai shayad
ki us ki har chaal se to hum phir bhi aashna hain
magar wo chuha
gale mein ghanTi jo Dal kar aaine ke aage khaDa hua hai
jo ek tamghon ki shakl mein us ko dekhta hai
wo asl KHatra hai
jis ka rakhna hai dhyan hum ko
tamam
KHunKHar billiyon ki hai ruh us mein
- Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 112)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.