awam
mushkil vaqt meñ
agar kuchh log hamārī madad nahīñ kar rahe
to hameñ
in ke baare meñ sochnā tark nahīñ karnā chāhiye
aur jo log apnī āvāzoñ se
apnī maujūdgī kā ehsās dilā rahe haiñ
hameñ un kā bhī ḳhayāl rakhnā chāhiye
bahut ziyāda kasmapursī ke aalam meñ
hameñ sirf na.are nahīñ lagāne chāhiyeñ
bahut ziyāda bebasī kī hālat meñ
hameñ apnī muTThiyāñ
ghar kī dīvāroñ aur darvāzoñ par
nahīñ mārnī chāhiyeñ
apne sāthiyoñ ke shor
aur apnī chīḳhoñ se ghabrā kar
hameñ apnī bātoñ ko dohrānā band karnā chāhiye
hameñ takrār karnī chāhiye
har us lafz kī
jis kī vaj.h se hamārā vajūd
abhī tak baaqī hai
hameñ takrār karnī chāhiye
har us ḳhayāl kī
jis ke aate hī
bahut se logoñ ke rauñgTe khaḌe ho jaate haiñ
apnī māyūsī, apnī nā-umīdī ko
hameñ ek giit banā lenā chāhiye
aur apnī bhuuk aur apnī pyaas se
ek chābuk
jise haath meñ le kar
apne ḳhvāboñ kī victoriya dauḌāte hue
hameñ apne mahl meñ
dāḳhil ho jaanā chāhiye
mushkil waqt mein
agar kuchh log hamari madad nahin kar rahe
to hamein
in ke bare mein sochna tark nahin karna chahiye
aur jo log apni aawazon se
apni maujudgi ka ehsas dila rahe hain
hamein un ka bhi KHayal rakhna chahiye
bahut ziyaada kasmapursi ke aalam mein
hamein sirf nare nahin lagane chahiyen
bahut ziyaada bebasi ki haalat mein
hamein apni muTThiyan
ghar ki diwaron aur darwazon par
nahin marni chahiyen
apne sathiyon ke shor
aur apni chiKHon se ghabra kar
hamein apni baaton ko dohrana band karna chahiye
hamein takrar karni chahiye
har us lafz ki
jis ki wajh se hamara wajud
abhi tak baqi hai
hamein takrar karni chahiye
har us KHayal ki
jis ke aate hi
bahut se logon ke raungTe khaDe ho jate hain
apni mayusi, apni na-umidi ko
hamein ek git bana lena chahiye
aur apni bhuk aur apni pyas se
ek chabuk
jise hath mein le kar
apne KHwabon ki wictoriya dauDate hue
hamein apne mahl mein
daKHil ho jaana chahiye
- Book : saarii nazmen (Pg. 350)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.