‘azm-e-nau
maiñ jiinā chāhtā huuñ
is zamīñ par
āsmāñ ban kar
maiñ jiinā chāhtā huuñ
is zamīñ par
kahkashāñ ban kar
maiñ jiinā chāhtā huuñ
is zamīñ par
phuul ḳhushbū chāñdnī ban kar
maiñ jiinā chāhtā huuñ
is zamīñ par
sub.h-e-nau ban kar
maiñ jiinā chāhtā huuñ
is zamīñ par
dopahar meñ saa.e kī sūrat
maiñ jiinā chāhtā huuñ
is zamīñ par
aise bachchoñ kī tarah
jin ko farishte apne hāthoñ se sajāte haiñ
ki jin ke
rāstoñ meñ devtā palkeñ bichhāte haiñ
maiñ jiinā chāhtā huuñ
is zamīñ par
aise peḌoñ kī tarah
jin kā ghanā saaya
musāfir kī thakan
be-imtiyāz-e-maz.hab-o-millat
chhupā letā hai apnī maḳhmalī palkoñ kī chhāoñ meñ
'atā kartā hai phir
ik ‘azm-e-nau
manzil kī jānib baḌhte rahne kā
main jina chahta hun
is zamin par
aasman ban kar
main jina chahta hun
is zamin par
kahkashan ban kar
main jina chahta hun
is zamin par
phul KHushbu chandni ban kar
main jina chahta hun
is zamin par
subh-e-nau ban kar
main jina chahta hun
is zamin par
dopahar mein sae ki surat
main jina chahta hun
is zamin par
aise bachchon ki tarah
jin ko farishte apne hathon se sajate hain
ki jin ke
raston mein dewta palken bichhate hain
main jina chahta hun
is zamin par
aise peDon ki tarah
jin ka ghana saya
musafir ki thakan
be-imtiyaz-e-mazhab-o-millat
chhupa leta hai apni maKHmali palkon ki chhaon mein
'ata karta hai phir
ek ‘azm-e-nau
manzil ki jaanib baDhte rahne ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.