Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pa-e-junun shart nahin

Zaheer Siddiqui

pa-e-junun shart nahin

Zaheer Siddiqui

MORE BYZaheer Siddiqui

    raah tārīk thī dushvār thā har ek qadam

    manzil-e-zīst ke har gaam pe Thokar khaa.ī

    mash.al-e-azm liye phir bhī meñ baḌhtā rahā

    dard-o-ālām āñdhī jo kabhī tez huī

    dāman-e-shauq meñ mash.al ko chhupāyā maiñ ne

    bahar bandagī-o-sho.alagī mash.al-e-azm

    merī shiryānoñ har qatra-e-ḳhūñ vāqif huā

    dāman-e-shauq bhī jal-bujh ke kahīñ raakh huā

    aur phir dhundlī huī bujhtī ga.ī mash.al-e-azm

    raah kuchh aur bhī tārīk vo siyah hotī ga.ī

    ghor añdhiyāre ke ifrīt mujhe Daste rahe

    zindagī apnī un bhūl-bhulayyoñ meñ rahī

    apnī manzil magar mujh ko pata mil na sakā

    ham-safar aur bhī kuchh saath chale the mere

    un meñ vo josh-e-junūñ aur na vo azm-o-yaqīñ

    mast-o-sarshār rahe bāda-e-ġhaflat kar

    ḳhvāb-e-ḳhargosh meñ har gaam pe mad.hosh rahe

    un manzil ne magar un ke qadam chuum liye

    un us nusrat-e-be-jā pe mujhe rashk nahīñ

    aaj bhī mujh meñ hai vo josh-e-junūñ azm-o-yaqīñ

    aaj bhī naaz hai go jahd-o-amal pe apne

    maslahat-kosh nahīñ aaj bhī ma.asūm-e-junūñ

    ḳhizr bejā ḳhushāmad pe nahīñ raazī hunūz

    haañ magar zehn ke parde pe ubharte haiñ savāl

    ḳhizr bejā ḳhushāmad muqaddam hai yahāñ

    vasl-e-manzil ke liye pā-e-junūñ shart nahīñ

    rah tarik thi dushwar tha har ek qadam

    manzil-e-zist ke har gam pe Thokar khai

    mashal-e-azm liye phir bhi mein baDhta hi raha

    dard-o-alam ki aandhi jo kabhi tez hui

    daman-e-shauq mein mashal ko chhupaya main ne

    bahar bandagi-o-shoalagi mashal-e-azm

    meri shiryanon ka har qatra-e-KHun waqif hua

    daman-e-shauq bhi jal-bujh ke kahin rakh hua

    aur phir dhundli hui bujhti gai mashal-e-azm

    rah kuchh aur bhi tarik wo siyah hoti gai

    ghor andhiyare ke ifrit mujhe Daste rahe

    zindagi apni un hi bhul-bhulayyon mein rahi

    apni manzil ka magar mujh ko pata mil na saka

    ham-safar aur bhi kuchh sath chale the mere

    un mein wo josh-e-junun aur na wo azm-o-yaqin

    mast-o-sarshaar rahe baada-e-ghaflat pi kar

    KHwab-e-KHargosh mein har gam pe madhosh rahe

    un ki manzil ne magar un ke qadam chum liye

    un ki us nusrat-e-be-ja pe mujhe rashk nahin

    aaj bhi mujh mein hai wo josh-e-junun azm-o-yaqin

    aaj bhi naz hai go jahd-o-amal pe apne

    maslahat-kosh nahin aaj bhi masum-e-junun

    KHizr ki beja KHushamad pe nahin raazi hunuz

    han magar zehn ke parde pe ubharte hain sawal

    KHizr ki beja KHushamad hi muqaddam hai yahan

    wasl-e-manzil ke liye pa-e-junun shart nahin

    Source:

    Roshan waraq waraq (Pg. 107)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now