Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baadal jhuk aae the

Abdur Rasheed

baadal jhuk aae the

Abdur Rasheed

MORE BYAbdur Rasheed

    bādal jhuk aa.e the

    aamoñ Daalī ke nīche kachchī miTTī soī huī thī

    tez havā se patte nīche girte the

    maiñ tanhā peḌ ke paas khaḌā thā

    soch rahā thā ruḳhsat aisī hotī hai

    sab kuchh dil handī meñ se bāhar aa kar

    be-ḳhushbū ke phuul sūrat ho jaatā hai

    rāheñ taktī sapne sotī āñkheñ

    aañsū bhar kar collar pe aa jaatī haiñ

    meñh ke pardoñ meñ se dil miTTī

    apne bojhal suḳhnoñ ke paanī meñ dhul kar

    pal ke pal anjān havā meñ kho jaatī hai

    shaam bāñheñ dastak ban kar aatī haiñ

    aur ḳhud apne aap havā lahroñ meñ kho jaatī haiñ

    koī nahīñ hai

    dil ne apne saare kāġhaz thaam liye haiñ

    meñh būñdeñ jin pe girtī rahtī haiñ

    baadal jhuk aae the

    aamon ki Dali ke niche kachchi miTTi soi hui thi

    tez hawa se patte niche girte the

    main tanha peD ke pas khaDa tha

    soch raha tha ruKHsat aisi hoti hai

    sab kuchh dil ki handi mein se bahar aa kar

    be-KHushbu ke phul ki surat ho jata hai

    rahen takti sapne soti aankhen

    aansu bhar kar collar pe aa jati hain

    meinh ke pardon mein se dil ki miTTi

    apne bojhal suKHnon ke pani mein dhul kar

    pal ke pal anjaan hawa mein kho jati hai

    sham ki banhen dastak ban kar aati hain

    aur KHud hi apne aap hawa ki lahron mein kho jati hain

    koi nahin hai

    dil ne apne sare kaghaz tham liye hain

    meinh ki bunden jin pe girti rahti hain

    Source:

    Phata Hua Badban (Pg. 141)

    • Author: Abdur Rasheed
      • Publisher: Abdur Rasheed
      • Year of Publication: 1977
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now