Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

be-nam nazMein

Amit Goswami

be-nam nazMein

Amit Goswami

MORE BYAmit Goswami

    aḳhbār ke bikhre hue pannoñ meñ

    shāyad

    whatsapp ke kisī group meñ kahīñ

    us ne paḌhī thiiñ

    kuchh dard meñ Duubī ġham-e-hijrāñ se mo.attar

    mānūs se alfāz meñ pahchānī satreñ

    be-nām nazmeñ

    jin meñ kahīñ shā.ir koī naam nahīñ thā

    mumkin hai ki in nazmoñ se

    kuchh uns shanāsā.ī shāyad koī rishta

    use mahsūs huā ho

    shāyad use yaad aaya ho ik rabt purānā

    un bikhrī huī nazmoñ

    mumkin hai ki

    vo rabt bhī us ke liye be-nām rahā ho

    jo bhī ho

    magar us ne vo nazmeñ mujhe bhejīñ

    alfāz kifāyat se barat.te hue pūchhā

    lahja to tumhārā hai ye tum ne likhī haiñ

    maiñ der se bas soch rahā huuñ use pūchhūñ

    vāqif ho mire ġham se mirī aahoñ se ab bhī

    ehsās abhī tak hai mire dard tum ko

    alfāz baratne salīqa nahīñ bhūlī

    taaza hai abhī zehn meñ nazmoñ bhī lahja

    tum itnā samajhtī ho mujhe phir ye batāo

    ham paas rahe itne to ab fāsla kyoñ hai

    aKHbar ke bikhre hue pannon mein

    ya shayad

    whatsapp ke kisi group mein kahin

    us ne paDhi thin

    kuchh dard mein Dubi gham-e-hijran se moattar

    manus se alfaz mein pahchani si satren

    be-nam si nazmen

    jin mein kahin shair ka koi nam nahin tha

    mumkin hai ki in nazmon se

    kuchh uns shanasai ya shayad koi rishta

    use mahsus hua ho

    shayad use yaad aaya ho ek rabt purana

    un bikhri hui nazmon sa

    mumkin hai ki

    wo rabt bhi us ke liye be-nam raha ho

    jo bhi ho

    magar us ne wo nazmen mujhe bhejin

    alfaz kifayat se baratte hue puchha

    lahja to tumhaara hai ye tum ne hi likhi hain

    main der se bas soch raha hun use puchhun

    waqif ho mere gham se meri aahon se ab bhi

    ehsas abhi tak hai mere dard ka tum ko

    alfaz baratne ka saliqa nahin bhuli

    taza hai abhi zehn mein nazmon ka bhi lahja

    tum itna samajhti ho mujhe phir ye batao

    hum pas rahe itne to ab fasla kyon hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now