Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

be-yaqini

Jameeluddin Aali

be-yaqini

Jameeluddin Aali

MORE BYJameeluddin Aali

    yuuñ to apne andar sach aur vo sach hai are tā-abad tujh ko kaafī hai

    kal jānib se is be-yaqīnī ke saare avāriz shāfī hai

    terī sad-samt aur be-ġharaz chhoTī chhoTī ka.ī ḳhidmatoñ ye pushtāra hai

    be-chāra

    aur us ke saath ek dard-e-nadāmat vaj.h-e-muāfī hai

    is tarah pesh-bīnī rivāyāt aur maslahat ke munāfī hai

    phir bhī

    tujhe haal koī yak-tarfa sāhib-e-maqāl aaj jo bhī kahe

    yaad ye bhī rahe

    kitne hāloñ tārīḳh ne un ko kyā kar diyā

    jis jitnā thā haq rafta rafta adā kar diyā

    jab tirā haal maazī banegā to go agle pichhloñ pe hairat kareñge

    terī ḳhud-nā-tamāmī na vāzeh huī to hikāyat shikāyat kareñge

    aur kuchh laġhzishoñ nadāmat kareñge

    magar tere sach aur tujh se bahut mohabbat kareñge

    yun to apne hi andar ka sach aur wo sach hai are ta-abad tujh ko kafi hai

    kal ki jaanib se is be-yaqini ke sare awariz ka shafi hai

    teri sad-samt aur be-gharaz chhoTi chhoTi kai KHidmaton ka ye pushtara hai

    be-chaara

    aur us ke sath ek dard-e-nadamat hi wajh-e-muafi hai

    is tarah pesh-bini riwayat aur maslahat ke munafi hai

    phir bhi

    tujhe haal ka koi yak-tarfa sahib-e-maqal aaj jo bhi kahe

    yaad ye bhi rahe

    kitne haalon ki tariKH ne un ko kya kar diya

    jis ka jitna tha haq rafta rafta ada kar diya

    jab tera haal mazi banega to go agle pichhlon pe hairat karenge

    teri KHud-na-tamami na wazeh hui to hikayat shikayat karenge

    aur kuchh laghzishon ki nadamat karenge

    magar tere sach aur tujh se bahut hi mohabbat karenge

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now