Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

begam aur shaeri

Nashtar Amrohvi

begam aur shaeri

Nashtar Amrohvi

MORE BYNashtar Amrohvi

    ek din mujh se ye farmāne lagī biivī mirī

    merī sautan ban ga.ī hai aap ye shā.erī

    vo ye kah kar mujh se kartī hai hamesha ehtijāj

    shā.erī se aap hotā hai mujh ko iḳhtilāj

    sochtī huuñ kis tarah hogā hamārā ab nibāh

    mujh ko roTī chāhiye aur aap ko bas vaah vaah

    mujh ko rahtī hai sadā bachchoñ ke mustaqbil dhun

    aap baiThe kar rahe haiñ fā.elātun fā.elun

    raat kaafī ho chukī hai niiñd meñ bachche haiñ dhut

    aap yuuñ sākit hue baiThe haiñ jaise koī but

    maiñ ye kahtī huuñ chukā diije jo pichhlā qarz hai

    aap apnī dhun meñ kahte haiñ ki matl.a arz hai

    maiñ ye kahtī huuñ ki dekhā kījiye mauqa.a-mahal

    chheḌ dete haiñ kahīñ bhī ġhair-matbūa ġhazal

    maan letī huuñ maiñ chaliye aap haiñ shā.er great

    shā.erī se bhar nahīñ saktā magar bachchoñ peT

    apne hindustān meñ murda-parastī aam hai

    jitne shā.er mar chuke haiñ bas unhīñ naam hai

    jab talak zinda rahe paise na the karne ko ḳharch

    mar ga.e to ho rahī hai mirzā-'ġhālib' par research

    maiñ ye bolā band kar apnā ye ba-hūda kalām

    tujh ko kyā ma.alūm kyā hai ek shā.er maqām

    jhuuT hai shāmil tasanno hai na kuchh is meñ daroġh

    shā.erī se rahī hai aaj bhī urdu faroġh

    huuñ sanā-ḳhvāñ maiñ 'figār'-o-'sāġhar'-o-'shahbāz'

    ruḳh badal Daalā jinhoñ ne sher ke parvāz

    ek din mujh se ye farmane lagi biwi meri

    meri sautan ban gai hai aap ki ye shaeri

    wo ye kah kar mujh se karti hai hamesha ehtijaj

    shaeri se aap ki hota hai mujh ko iKHtilaj

    sochti hun kis tarah hoga hamara ab nibah

    mujh ko roTi chahiye aur aap ko bas wah wah

    mujh ko rahti hai sada bachchon ke mustaqbil ki dhun

    aap baiThe kar rahe hain faelatun faelun

    raat kafi ho chuki hai nind mein bachche hain dhut

    aap yun sakit hue baiThe hain jaise koi but

    main ye kahti hun chuka dije jo pichhla qarz hai

    aap apni dhun mein kahte hain ki matla arz hai

    main ye kahti hun ki dekha kijiye mauqa-mahal

    chheD dete hain kahin bhi ghair-matbua ghazal

    man leti hun main chaliye aap hain shaer great

    shaeri se bhar nahin sakta magar bachchon ka peT

    apne hindustan mein murda-parasti aam hai

    jitne shaer mar chuke hain bas unhin ka nam hai

    jab talak zinda rahe paise na the karne ko KHarch

    mar gae to ho rahi hai mirza-'ghaalib' par research

    main ye bola band kar apna ye ba-huda kalam

    tujh ko kya malum kya hai ek shaer ka maqam

    jhuT hai shamil tasanno hai na kuchh is mein darogh

    shaeri se pa rahi hai aaj bhi urdu farogh

    hun sana-KHwan main 'figar'-o-'saghar'-o-'shahbaz' ka

    ruKH badal Dala jinhon ne sher ke parwaz ka

    Source:

    Post Martum (Pg. 76)

    • Author: Nashtar Amrohvi
      • Edition: 2012
      • Publisher: M.R. Publications
      • Year of Publication: 2012
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now