bhagwan beli
harī harī beloñ meñ laal laal phuul haiñ
laal laal phūloñ meñ phūloñ ke biij haiñ
phūloñ ke biij bhī andar se baaġh haiñ
ghanī ghanī rātoñ meñ miTTī ke charāġh haiñ
miTTī ke charāġhoñ ko pavan kyā bujhā.egī
raushnī kī barkhā meñ niiñd Duub jā.egī
sapnoñ ke phūloñ meñ bhagvan belī hai
itne baḌe baaġh meñ kab se akelī hai
patjhaḌ kī oT se ḳhvāb ye dikhāyā hai
biij bone vaale ne āsmāñ banāyā hai
hari hari belon mein lal lal phul hain
lal lal phulon mein phulon ke bij hain
phulon ke bij bhi andar se bagh hain
ghani ghani raaton mein miTTi ke charagh hain
miTTi ke charaghon ko pawan kya bujhaegi
raushni ki barkha mein nind Dub jaegi
sapnon ke phulon mein bhagwan beli hai
itne baDe bagh mein kab se akeli hai
patjhaD ki oT se KHwab ye dikhaya hai
bij bone wale ne aasman banaya hai
- Book : Mitti Ki Sundarta Dekho (Pg. 105)
- Author : Sarvat Husain
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.