bhopal tal ke nam
ai baḌe tālāb
ai aabī zaḳhīre ke amiiñ
tere is shaffāf paanī meñ ye kyā tāsīr hai
kyoñ Thahar jaatā hai rahrau dekh kar terā jamāl
kyoñ pakaḌ lete haiñ qadmoñ ko tire ye sabza-zār
āb-e-larzīda meñ tere kyā likhā hai ye batā
jis kā ik ik harf paḌhne meñ guzar jaatī hai 'umr
phir bhī khultā hī nahīñ hai raaz tere husn kā
phir bhī jaatā hī nahīñ hai terā ye aabī tilism
ai baḌe tālāb ai aabī zaḳhīre ke amiiñ
kitnī sadiyoñ kī tamāzat tere is paanī meñ hai
kitne mausam karvaTeñ lete haiñ lahroñ meñ tirī
kitnī tahzīboñ ke zāmin haiñ tire ye murġh-zār
ai baḌe tālāb kuchh tū hī batā kyā ramz hai
kyoñ tujhe ghere hue haiñ ye pahāḌī silsile
kyoñ sajā rakkhe haiñ tū ne har taraf ye sabza-zār
kis liye hotī hai ḳhilqat terī vus'at par nisār
tū na jaijūñ hai na hai dariyā-e-'thames'
phir bhī sāhil par tire qurbāñ hai husn-e-be-karāñ
phir bhī siine par tire raqsāñ haiñ kitnī kashtiyāñ
phir bhī kaif-e-zindagī hai terī maujoñ se 'ayāñ
ai baḌe tālāb ai aabī zaḳhīre ke amiiñ
tujh ko kuchh mā'lūm bhī hai apnī tārīḳh-e-hasīñ
kitnī tahzīboñ kā shāhid hai tirā āb-e-ravāñ
kitne jazboñ kī tahārat terī in lahroñ meñ hai
kitne mausam ho ga.e shādāb āñchal se tire
qāfile kitne tire dāman meñ aa kar bas ga.e
kaise kaise gauhar-e-nāyāb tere 'ishq meñ
ho ke be-qīmat tirī āġhosh meñ gum ho ga.e
aaj un kā nām-levā bhī yahāñ koī nahīñ
ai baḌe tālāb ai aabī zaḳhīre ke amiiñ
tere pahlū meñ haiñ ḳhvābīda vo ahl-e-'ishq bhī
jin ke teshe ne the kaaTe jahl ke koh-e-girāñ
jin kī himmat ne basā.ī thiiñ yahāñ par bastiyāñ
bastiyoñ meñ pyaar ke chashme hī the har-sū ravāñ
jin pe qābiz haiñ magar ab vaqt kī saffākiyāñ
vaqt kī saffākiyoñ kā ek shāhid tū bhī hai
vaqt kī saffākiyoñ kā ek shāhid maiñ bhī huuñ
phir bhī ai tālāb ai aabī zaḳhīre ke amiiñ
yuuñ to terā ye javāñ-paikar bazāhir taal hai
dar-haqīqat tū vaqār-o-‘azmat-e-bhopāl hai
ai baDe talab
ai aabi zaKHire ke amin
tere is shaffaf pani mein ye kya tasir hai
kyon Thahar jata hai rahrau dekh kar tera jamal
kyon pakaD lete hain qadmon ko tere ye sabza-zar
aab-e-larzida mein tere kya likha hai ye bata
jis ka ek ek harf paDhne mein guzar jati hai 'umr
phir bhi khulta hi nahin hai raaz tere husn ka
phir bhi jata hi nahin hai tera ye aabi tilism
ai baDe talab ai aabi zaKHire ke amin
kitni sadiyon ki tamazat tere is pani mein hai
kitne mausam karwaTen lete hain lahron mein teri
kitni tahzibon ke zamin hain tere ye murgh-zar
ai baDe talab kuchh tu hi bata kya ramz hai
kyon tujhe ghere hue hain ye pahaDi silsile
kyon saja rakkhe hain tu ne har taraf ye sabza-zar
kis liye hoti hai KHilqat teri wus'at par nisar
tu na jaijun hai na hai dariya-e-'thames'
phir bhi sahil par tere qurban hai husn-e-be-karan
phir bhi sine par tere raqsan hain kitni kashtiyan
phir bhi kaif-e-zindagi hai teri maujon se 'ayan
ai baDe talab ai aabi zaKHire ke amin
tujh ko kuchh ma'lum bhi hai apni tariKH-e-hasin
kitni tahzibon ka shahid hai tera aab-e-rawan
kitne jazbon ki tahaarat teri in lahron mein hai
kitne mausam ho gae shadab aanchal se tere
qafile kitne tere daman mein aa kar bas gae
kaise kaise gauhar-e-nayab tere 'ishq mein
ho ke be-qimat teri aaghosh mein gum ho gae
aaj un ka nam-lewa bhi yahan koi nahin
ai baDe talab ai aabi zaKHire ke amin
tere pahlu mein hain KHwabida wo ahl-e-'ishq bhi
jin ke teshe ne the kaTe jahl ke koh-e-giran
jin ki himmat ne basai thin yahan par bastiyan
bastiyon mein pyar ke chashme hi the har-su rawan
jin pe qabiz hain magar ab waqt ki saffakiyan
waqt ki saffakiyon ka ek shahid tu bhi hai
waqt ki saffakiyon ka ek shahid main bhi hun
phir bhi ai talab ai aabi zaKHire ke amin
yun to tera ye jawan-paikar bazahir tal hai
dar-haqiqat tu waqar-o-‘azmat-e-bhopal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.