Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bhuli bisri raat

Takht Singh

bhuli bisri raat

Takht Singh

MORE BYTakht Singh

    pichhlī raat chāñd dikhā.ī detā thā kuchh yuuñ tāroñ meñ

    jaise koī jaan buujh kar kuud rahā ho añgāroñ meñ

    dhartī se ākāsh talak kirnoñ sundar jaal bichhā thā

    raaj thā sapnoñ sab jag par chhāyā huā ik sannāTā thā

    lahroñ muñh zor silvaToñ meñ nadī bas ghol rahī thī

    dhīme dhīme madhur suroñ meñ shāyad kuchh bol rahī thī

    peḌ kināre par bhīgī parvā se kaañp rahe the thar-thar

    rah rah kar ik aadh an-dekhā panchhī chīḳh uThtā thā jin par

    duur ik parbat ūñchī choTī par ik chhoTī badlī

    kyā jaane pūrab dhuñdle manDal meñ kyā DhūñDh rahī thī

    aise meñ ham donoñ ik halkī nannhī naav meñ baiThe

    jhil-mil jhil-mil karte paanī chhātī par tair rahe the

    terī ruḳh pe pareshāñ kākul khel khel rahī thī narm havā se

    ruup meñ terā sundar mukhḌā kahīñ suhānā thā chandrā se

    bijlī aisā nuur āñkhoñ meñ dikhā.ī detā thā kuchh aise

    chalte hoñ do nanhe nanhe dīpak kaalī raat meñ jaise

    rah rah kar saarī āñchal kāñdhe par se Dhalak jaatā thā

    rah rah kar tujh se kuchh kahne ko merā lalchātā thā

    lekin ruk jaatī thī hoñToñ par jo baat uThtī thī man meñ

    prem chīḳh liptā alhī thī laaj an-suljhī uljhan meñ

    jhuum rahā thā jāgte sapnoñ sansār āñkhoñ meñ aise

    aur motī jhuul rahe hoñ phūloñ ke jhūloñ meñ jaise

    alag alag bechain thā chappū hāthoñ se chhūTā jaatā thā

    aur yuuñ mere sabr pyālā rah rah kar chhalkā jaatā thā

    ekā ekī ne bharī ik ThanDī saañs añgḌā.ī le kar

    chup thakan se baaz aa.ī thī sar ko rakhā mere kāñdhe par

    phir kyā thā dil aise machlā apne aap ko bhuul gayā maiñ

    zor se tujh ko bheñch kar apnī bāhoñ meñ kuchh bol uThā maiñ

    ik meñ kyā ākāsh ke taare bhī vo raat nahīñ bhūle haiñ

    jis ko guzre aaj to lag-bhag chaar mahīne biit ga.e haiñ

    ab bhī is yaad machā detī hai ik halchal man meñ

    aisī raat nahīñ aatī hai palaT kar kyuuñ mere jīvan meñ

    pichhli raat ka chand dikhai deta tha kuchh yun taron mein

    jaise koi jaan bujh kar kud raha ho angaron mein

    dharti se aakash talak kirnon ka sundar jal bichha tha

    raj tha sapnon ka sab jag par chhaya hua ek sannaTa tha

    lahron ki munh zor silwaTon mein nadi bas ghol rahi thi

    dhime dhime madhur suron mein shayad kuchh bol rahi thi

    peD kinare par bhigi parwa se kanp rahe the thar-thar

    rah rah kar ek aadh an-dekha panchhi chiKH uThta tha jin par

    dur ek parbat ki unchi choTi par ek chhoTi si badli

    kya jaane purab ki dhundle manDal mein kya DhunDh rahi thi

    aise mein hum donon ek halki si nannhi naw mein baiThe

    jhil-mil jhil-mil karte pani ki chhati par tair rahe the

    teri ruKH pe pareshan kakul khel khel rahi thi narm hawa se

    rup mein tera sundar mukhDa kahin suhana tha chandra se

    bijli aisa nur aankhon mein dikhai deta tha kuchh aise

    chalte hon do nanhe nanhe dipak kali raat mein jaise

    rah rah kar sari ka aanchal kandhe par se Dhalak jata tha

    rah rah kar tujh se kuchh kahne ko mera ji lalchata tha

    lekin ruk jati thi honTon par jo baat uThti thi man mein

    prem ki chiKH lipta alhi thi laj ki an-suljhi uljhan mein

    jhum raha tha jagte sapnon ka sansar aankhon mein aise

    aur ki moti jhul rahe hon phulon ke jhulon mein jaise

    alag alag bechain tha chappu hathon se chhuTa jata tha

    aur yun mere sabr ka pyala rah rah kar chhalka jata tha

    eka eki tu ne bhari ek ThanDi sans angDai le kar

    chup ki thakan se baz aai thi sar ko rakha mere kandhe par

    phir kya tha dil aise machla apne aap ko bhul gaya main

    zor se tujh ko bhench kar apni bahon mein kuchh bol uTha main

    ek mein kya aakash ke tare bhi wo raat nahin bhule hain

    jis ko guzre aaj to lag-bhag chaar mahine bit gae hain

    ab bhi is ki yaad macha deti hai ek halchal si man mein

    aisi raat nahin aati hai palaT kar kyun mere jiwan mein

    Source:

    Mujalla Dastavez (Pg. 270)

    • Author: Aziz Nabeel
      • Edition: 2013-14
      • Publisher: Edarah Dastavez
      • Year of Publication: 2013-14
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now