bhuri miTTi ki tah ko haTaen
chalo ham bhī kuchh haath paañv hilā.eñ
zamīñ par utartī huī barf ke sard bosoñ se ḳhud ko bachā.eñ
nigāhoñ meñ vahshat zabāñ par kaḌakte hue bol laa.eñ
ghane dam-ba-dam jalte bujhte hue bādaloñ se guzar kar
sitāroñ ke jhurmuT ko hāthoñ kī poroñ se do-nīm kar ke baḌheñ
barf ke ik taḌaḳhte pighalte jahannam meñ utreñ
siyāhī ke yaḳh-basta marqad pe aañsū bahā.eñ
chaTTāneñ agar baasī sadiyoñ kī gāḌhī ghanī giilī badbū meñ
luthḌī paḌī haiñ to kyā hai
agar ghaas kī laash ko barf kī ek mailī razā.ī ne
āñgan ko murda daraḳhtoñ kī bhūbal ne Dhāñpā huā hai to kyā hai
ki ham raakh ke Dher
girtī huī barf ke lajlaje narm gaale
kasīlī sī badbū ke bhabke nahīñ haiñ
tujhe kyā ḳhabar ham
zamīñ kī tarah bhūrī miTTī kī ik khaal oḌhe hue haiñ
agar haath ham ko mayassar nahīñ haiñ to kyā hai
chalo apnī palkoñ ke nezoñ se is bhūrī miTTī kī tah ko haTā.eñ
chalo tez sho.aloñ ke dozaḳh meñ utreñ
ubalte hue tund laave kī maujoñ meñ dhūnī ramā.eñ
chalo hum bhi kuchh hath panw hilaen
zamin par utarti hui barf ke sard boson se KHud ko bachaen
nigahon mein wahshat zaban par kaDakte hue bol laen
ghane dam-ba-dam jalte bujhte hue baadalon se guzar kar
sitaron ke jhurmuT ko hathon ki poron se do-nim kar ke baDhen
barf ke ek taDaKHte pighalte jahannam mein utren
siyahi ke yaKH-basta marqad pe aansu bahaen
chaTTanen agar basi sadiyon ki gaDhi ghani gili badbu mein
luthDi paDi hain to kya hai
agar ghas ki lash ko barf ki ek maili razai ne
aangan ko murda daraKHton ki bhubal ne Dhanpa hua hai to kya hai
ki hum rakh ke Dher
girti hui barf ke lajlaje narm gale
kasili si badbu ke bhabke nahin hain
tujhe kya KHabar hum
zamin ki tarah bhuri miTTi ki ek khaal oDhe hue hain
agar hath hum ko mayassar nahin hain to kya hai
chalo apni palkon ke nezon se is bhuri miTTi ki tah ko haTaen
chalo tez shoalon ke dozaKH mein utren
ubalte hue tund lawe ki maujon mein dhuni ramaen
- Book : Wazeer Aagha Ki Nazmen (Pg. 58)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.