Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bulawa

Zehra Nigaah

bulawa

Zehra Nigaah

MORE BYZehra Nigaah

    chalo us koh par ab ham bhī chaḌh jaa.eñ

    jahāñ par ke phir koī bhī vāpas nahīñ aatā

    sunā hai ik nidā-e-ajnabī bāhoñ ko phailā.e

    jo aa.e us istiqbāl kartī hai

    use tārīkiyoñ meñ le ke āḳhir Duub jaatī hai

    yahī vo rāsta hai jis jagah saaya nahīñ jaatā

    jahāñ par ke phir koī kabhī vāpas nahīñ aatā

    jo sach pūchho to ham tum zindagī bhar hārte aa.e

    hamesha be-yaqīnī ke ḳhatar se kāñpte aa.e

    hamesha ḳhauf ke pairāhanoñ se apne paikar Dhāñpte aa.e

    hamesha dūsroñ ke saa.e meñ ik dūsre ko chāhte aa.e

    burā kyā hai agar us koh ke dāman meñ chhup jaa.eñ

    jahāñ par ke phir koī kabhī vāpas nahīñ aatā

    kahāñ tak apne bosīda badan mahfūz rakkheñge

    kisī ke nāḳhunoñ muqaddar jaag lene do

    kahāñ tak saañs Dorī se rishte jhuuT ke bāñdheñ

    kisī ke panjā-e-be-dard se TuuT jaane do

    phir is ke ba.ad to bas ik sukūt-e-mustaqil hogā

    na koī surḳh-rū hogā, na koī munfa.il hogā

    chalo us koh par ab hum bhi chaDh jaen

    jahan par ja ke phir koi bhi wapas nahin aata

    suna hai ek nida-e-ajnabi bahon ko phailae

    jo aae us ka istiqbaal karti hai

    use tarikiyon mein le ke aaKHir Dub jati hai

    yahi wo rasta hai jis jagah saya nahin jata

    jahan par ja ke phir koi kabhi wapas nahin aata

    jo sach puchho to hum tum zindagi bhar haarte aae

    hamesha be-yaqini ke KHatar se kanpte aae

    hamesha KHauf ke pairahanon se apne paikar Dhanpte aae

    hamesha dusron ke sae mein ek dusre ko chahte aae

    bura kya hai agar us koh ke daman mein chhup jaen

    jahan par ja ke phir koi kabhi wapas nahin aata

    kahan tak apne bosida badan mahfuz rakkhenge

    kisi ke naKHunon hi ka muqaddar jag lene do

    kahan tak sans ki Dori se rishte jhuT ke bandhen

    kisi ke panja-e-be-dard hi se TuT jaane do

    phir is ke baad to bas ek sukut-e-mustaqil hoga

    na koi surKH-ru hoga, na koi munfail hoga

    RECITATIONS

    Azra Naqvi

    Azra Naqvi,

    Azra Naqvi

    bulawa Azra Naqvi

    Source:

    Shaam Kaa Phahlaa Taaraa (Pg. 27)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now