aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bus-satand par

Majeed Amjad

bus-satand par

Majeed Amjad

MORE BYMajeed Amjad

    ḳhudāyā ab ke ye kaisī bahār ā.ī''

    ḳhudā se kyā gila bhaa.ī

    ḳhudā to ḳhair kis ne us aks-e-naqsh-e-pā dekhā

    na dekhā to bhī dekhā aur dekhā bhī to kyā dekhā

    magar tauba mirī tauba ye insāñ bhī to āḳhir ik tamāshā hai

    ye jis ne pichhlī Tāñgoñ par khaḌā honā baḌe jatanoñ se sīkhā hai

    abhī kal tak jab us ke abrūoñ tak mū-e-pechāñ the

    abhī kal tak jab us ke hoñT mahrūm-e-zanaḳhdāñ the

    ridā-e-sad-zamāñ oḌhe laraztā kāñptā baiThā

    zamīr-e-sañg se bas ek chiñgārī tālib thā

    magar ab to ye ūñchī mamTiyoñ vaale jilau-ḳhānoñ meñ basta hai

    hamāre laboñ se muskurāhaT chhīn kar ab ham pe hañstā hai

    ḳhudā us ḳhudā.ī us har shai us ham kyā haiñ

    chamaktī motoroñ se uḌne vaalī dhuul nāchīz zarra haiñ

    hamārī tarah jo pā.emāl-e-satvat-e-amīrī-o-shāhī meñ

    likhokhā ābdīda pā-piyāda dil-zada vāmāñda raahī haiñ

    jinheñ nazroñ se gum hote hue rastoñ gum-paimā lakīroñ meñ

    dikhā.ī de rahī haiñ aane vaalī manziloñ dhundlī tasvīreñ

    zarūr ik roz badlegā nizām-e-qismat-e-ādam

    basegī ik na.ī duniyā sajegā ik nayā aalam

    shabistāñ meñ na.ī sham.eñ gulistāñ meñ nayā mausam

    ''vo rut ai ham-nafas jaane kab aa.egī

    vo fasl-e-der-ras jaane kab aa.egī

    ye nau number bas jaane kab aa.egī

    KHudaya ab ke ye kaisi bahaar aai

    KHuda se kya gila bhai

    KHuda to KHair kis ne us ka aks-e-naqsh-e-pa dekha

    na dekha to bhi dekha aur dekha bhi to kya dekha

    magar tauba meri tauba ye insan bhi to aaKHir ek tamasha hai

    ye jis ne pichhli Tangon par khaDa hona baDe jatanon se sikha hai

    abhi kal tak jab us ke abruon tak mu-e-pechan the

    abhi kal tak jab us ke honT mahrum-e-zanaKHdan the

    rida-e-sad-zaman oDhe larazta kanpta baiTha

    zamir-e-sang se bas ek chingari ka talib tha

    magar ab to ye unchi mamTiyon wale jilau-KHanon mein basta hai

    hamare hi labon se muskurahaT chhin kar ab hum pe hansta hai

    KHuda us ka KHudai us ki har shai us ki hum kya hain

    chamakti motoron se uDne wali dhul ka nachiz zarra hain

    hamari hi tarah jo paemal-e-satwat-e-amiri-o-shahi mein

    likhokha aabdida pa-piyaada dil-zada wamanda rahi hain

    jinhen nazron se gum hote hue raston ki gum-paima lakiron mein

    dikhai de rahi hain aane wali manzilon ki dhundli taswiren

    zarur ek roz badlega nizam-e-qismat-e-adam

    basegi ek nai duniya sajega ek naya aalam

    shabistan mein nai shamen gulistan mein naya mausam

    wo rut ai ham-nafas jaane kab aaegi

    wo fasl-e-der-ras jaane kab aaegi

    ye nau number ki bas jaane kab aaegi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now