Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chali gain

Sahba lakhnavi

chali gain

Sahba lakhnavi

MORE BYSahba lakhnavi

    rangīn ḳhvāb ban ke samātī chalī ga.iiñ

    mad.hoshiyoñ ko aur baḌhātī chalī ga.iiñ

    allah re shān-e-husn ki taslīm-e-shauq par

    nazreñ uThā.e sar ko jhukātī chalī ga.iiñ

    husn-e-jahāñ-panāh allāh re kashish

    har ik nigah ko barq banātī chalī ga.iiñ

    nīñdoñ meñ husn aur javānī karvaTeñ

    ḳhvāboñ ke raaz raaz banātī chalī ga.iiñ

    allah re ye naqāb ye husn-e-fusūñ-tarāz

    pardoñ ke taar taar uḌātī chalī ga.iiñ

    un ke jalāl-e-husn charchā hai har jagah

    kal raat chāñd ko bhī jhukātī chalī ga.iiñ

    aa.ī ho Thahro zīnat-e-bazm-e-makāñ bano

    jhijkīñ rukīñ Thahar ke lajātī chalī ga.iiñ

    allāh taab kaise maiñ lā.ūñ nigāh

    rag rag ko jaise barq banātī chalī ga.iiñ

    'sahbā'-asar nigāh hai har jumbish-e-nigāh

    nazroñ se jām-e-mast pilātī chalī ga.iiñ

    rangin KHwab ban ke samati chali gain

    madhoshiyon ko aur baDhati chali gain

    allah re shan-e-husn ki taslim-e-shauq par

    nazren uThae sar ko jhukati chali gain

    husn-e-jahan-panah ki allah re kashish

    har ek nigah ko barq banati chali gain

    nindon mein husn aur jawani ki karwaTen

    KHwabon ke raaz raaz banati chali gain

    allah re ye naqab ye husn-e-fusun-taraaz

    pardon ke tar tar uDati chali gain

    un ke jalal-e-husn ka charcha hai har jagah

    kal raat chand ko bhi jhukati chali gain

    aai ho Thahro zinat-e-bazm-e-makan bano

    jhijkin rukin Thahar ke lajati chali gain

    allah tab kaise main laun nigah ki

    rag rag ko jaise barq banati chali gain

    'sahba'-asar nigah hai har jumbish-e-nigah

    nazron se jam-e-mast pilati chali gain

    Source:

    Mah Pare (Pg. 59)

    • Author: Sahba lakhnavi
      • Publisher: Atiqur Rahman Zikrur Rahman Tajiran-e-Kutub, Bhopal
      • Year of Publication: 1943
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now