Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chopin ka naghma bajta hai

Faiz Ahmad Faiz

chopin ka naghma bajta hai

Faiz Ahmad Faiz

MORE BYFaiz Ahmad Faiz

    Interesting Fact

    The two Nazms are derived from Qasan Qali, the poet of Qafqar

    (2)

    chhalnī hai añdhere sīna, barkhā ke bhāle barse haiñ

    dīvāroñ ke aañsū haiñ ravāñ ghar ḳhāmoshī meñ Duube haiñ

    paanī meñ nahā.e haiñ buuTe

    galiyoñ meñ pherā hai

    'chopin' naġhma bajtā hai

    ik ġham-gīñ laḌkī ke chehre par chāñd zardī chhā.ī hai

    jo barf girī thī is pe lahū ke chhīñToñ rushnā.ī hai

    ḳhuuñ har daaġh damaktā hai

    'chopin' naġhma bajtā hai

    kuchh āzādī ke matvāle, jaañ kaf pe liye maidāñ meñ ga.e

    har-sū dushman narġha thaa, kuchh bach nikle, kuchh khet rahe

    aalam meñ un shohra hai

    'chopin' naġhma bajtā hai

    ik kuuñj ko sakhiyāñ chhoḌ ga.iiñ ākāsh niilī rāhoñ meñ

    vo yaad meñ tanhā rotī thii, lipTā.e apnī bāhoñ meñ

    ik shāhīñ us par jhapTā hai

    'chopin' naġhma bajtā hai

    ġham ne sāñche meñ Dhālā hai

    ik baap ke patthar chehre ko

    murda beTe ke māthe ko

    ik maañ ne ro kar chūmā hai

    'chopin' naġhma bajtā hai

    phir phūloñ rut lauT aa.ī

    aur chāhne vāloñ gardan meñ jhūle Daale bāhoñ ne

    phir jharne nāche chhan chhan chhan

    ab bādal hai na barkhā hai

    'chopin' naġhma bajtā hai

    (2)

    chhalni hai andhere ka sina, barkha ke bhaale barse hain

    diwaron ke aansu hain rawan ghar KHamoshi mein Dube hain

    pani mein nahae hain buTe

    galiyon mein hu ka phera hai

    'chopin' ka naghma bajta hai

    ek gham-gin laDki ke chehre par chand ki zardi chhai hai

    jo barf giri thi is pe lahu ke chhinTon ki rushnai hai

    KHun ka har dagh damakta hai

    'chopin' ka naghma bajta hai

    kuchh aazadi ke matwale, jaan kaf pe liye maidan mein gae

    har-su dushman ka nargha tha, kuchh bach nikle, kuchh khet rahe

    aalam mein un ka shohra hai

    'chopin' ka naghma bajta hai

    ek kunj ko sakhiyan chhoD gain aakash ki nili rahon mein

    wo yaad mein tanha roti thi, lipTae apni bahon mein

    ek shahin us par jhapTa hai

    'chopin' ka naghma bajta hai

    gham ne sanche mein Dhaala hai

    ek bap ke patthar chehre ko

    murda beTe ke mathe ko

    ek man ne ro kar chuma hai

    'chopin' ka naghma bajta hai

    phir phulon ki rut lauT aai

    aur chahne walon ki gardan mein jhule Dale bahon ne

    phir jharne nache chhan chhan chhan

    ab baadal hai na barkha hai

    'chopin' ka naghma bajta hai

    Source:

    Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 630)

      • Edition: 2009
      • Publisher: Educational Publishing House
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now