Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo aurat thi

Waqar Khan

wo aurat thi

Waqar Khan

MORE BYWaqar Khan

    ḳhalā mushkilāt apnī jagah qaa.em thiiñ aur duniyā

    ujaḌtī bharbharī banjar zamīnoñ nishānī thī

    sitāre surḳh the aur chāñd sūraj par añdheroñ baserā thā

    daraḳhtoñ par parindoñ jagah vīrāniyoñ ke ghoñsle hote

    zamīñ kokh meñ bas thuur thā aur ḳhaar ugte the

    havā ko saañs lene meñ bahut dushvāriyāñ hotīñ

    to phir us nuur vaale ne koī lauh-e-anāra bhej shāyad

    añdhere raushnī pe kis tarah īmān le aa.e

    balā.eñ kis tarah pariyoñ sūrat meñ chalī aa.iiñ

    ye kis naural suvaibā ḳhudā taḳhlīq kar baiThā

    ye narmī dilbarī sharm-o-hayā taḳhlīq kar baiThā

    vo naural vo suvaibā jis ḳhātir āsmāñ se rañg utre the

    vo jis ke dam se duniyā par nazākat vajūd aayā

    ḳhudā-e-ḳhalq ne naural se pahle havas taḳhlīq kar thī

    nazākat tak havas dastaras taḳhlīq kar thī

    hazāroñ saal guzre haiñ magar fitrat nahīñ badlī

    nigāheñ ab bhī bhūkī haiñ ki jaise khā jā.eñgī

    havas-zādoñ ne kaise nuur se muñh par malī kālak

    har ik rishta zarūrat ke mutābiq kis liye badlā

    havas-zādoñ badan-ḳhoro zarā sharm farmāo

    vo naural vo suvaibā raushnī isti.āra thī

    kabhī havvā kabhī mariyam kabhī lauhe-anāra thī

    vo aurat thī

    KHala ki mushkilat apni jagah qaem thin aur duniya

    ujaDti bharbhari banjar zaminon ki nishani thi

    sitare surKH the aur chand suraj par andheron ka basera tha

    daraKHton par parindon ki jagah viraniyon ke ghonsle hote

    zamin ki kokh mein bas thur tha aur KHar ugte the

    hawa ko sans lene mein bahut dushwariyan hotin

    to phir us nur wale ne koi lauh-e-anara bhej di shayad

    andhere raushni pe kis tarah iman le aae

    balaen kis tarah pariyon ki surat mein chali aain

    ye kis naural suwaiba ki KHuda taKHliq kar baiTha

    ye narmi dilbari sharm-o-haya taKHliq kar baiTha

    wo naural wo suwaiba jis ki KHatir aasman se rang utre the

    wo jis ke dam se duniya par nazakat ka wajud aaya

    KHuda-e-KHalq ne naural se pahle hi hawas taKHliq kar di thi

    nazakat tak hawas ki dastaras taKHliq kar di thi

    hazaron sal guzre hain magar fitrat nahin badli

    nigahen ab bhi bhuki hain ki jaise kha hi jaengi

    hawas-zadon ne kaise nur se munh par mali kalak

    har ek rishta zarurat ke mutabiq kis liye badla

    hawas-zadon badan-KHoro zara si sharm farmao

    wo naural wo suwaiba raushni ka istiara thi

    kabhi hawwa kabhi mariyam kabhi lauhe-anara thi

    wo aurat thi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now