Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dahshat-gard shaer

Zeeshan Sahil

dahshat-gard shaer

Zeeshan Sahil

MORE BYZeeshan Sahil

    ek ḳhush-gavār din

    jab log apne daftar aur bachche

    schōl vaqt par pahuñch jaate haiñ

    dahshat-gard shā.er apne ḳhvāboñ bandūq le kar

    havā.ī-firing shurūa kar dete haiñ

    koī halāk nahīñ hotā koī zaḳhmī nahīñ hotā

    kisī ko Dar nahīñ lagtā

    kisī daraḳht se ek pattā tak nahīñ girtā

    kisī khiḌkī shīsha bhī nahīñ TūTtā

    shā.er apnā kaam jaarī rakhte haiñ magar

    shaam hone tak kisī dīvār meñ ek surāḳh tak nahīñ kar paate

    kisī darvāze par nishān bhī nahīñ Daal paate

    log hasb-e-ma.amūl gharoñ ko vāpas aate haiñ

    bachche rāstoñ meñ cricket khelte haiñ lekin kisī ko

    ḳhvāboñ ke ḳhālī kartōs nahīñ milte

    dahshat-gard shā.er kahīñ nazar nahīñ aate

    jab raat hotī hai to achānak añdhere meñ kabhī

    raushnī lakīreñ āsmān taraf jaatī nazar aatī haiñ

    isī ma.amūlī chamak meñ sitāre apnā rāsta banāte haiñ

    isī rāste par

    dahshat-gard shā.er apnī bandūq liye zindagī bhar parade karte rahte haiñ

    ek KHush-gawar din

    jab log apne daftar aur bachche

    school waqt par pahunch jate hain

    dahshat-gard shaer apne KHwabon ki banduq le kar

    hawai-firing shurua kar dete hain

    koi halak nahin hota koi zaKHmi nahin hota

    kisi ko Dar nahin lagta

    kisi daraKHt se ek patta tak nahin girta

    kisi khiDki ka shisha bhi nahin TuTta

    shaer apna kaam jari rakhte hain magar

    sham hone tak kisi diwar mein ek suraKH tak nahin kar pate

    kisi darwaze par nishan bhi nahin Dal pate

    log hasb-e-mamul gharon ko wapas aate hain

    bachche raston mein cricket khelte hain lekin kisi ko

    KHwabon ke KHali kartoos nahin milte

    dahshat-gard shaer kahin nazar nahin aate

    jab raat hoti hai to achanak andhere mein kabhi

    raushni ki lakiren aasman ki taraf jati nazar aati hain

    isi mamuli chamak mein sitare apna rasta banate hain

    isi raste par

    dahshat-gard shaer apni banduq liye zindagi bhar parade karte rahte hain

    Source:

    saarii nazmen (Pg. 487)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now