aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

daldal

Krishna Mohan

daldal

Krishna Mohan

MORE BYKrishna Mohan

    mirā zehn bantā chalā rahā hai ḳhayālāt-e-fāsid daldal

    ki mahsūs hone lagā hai

    mirī zindagī meñ rahegī hamesha havas kār-farmā

    ho sarmā ki garmā

    kabhī pyaas bujhtī nahīñ hai

    piyūñ jitnī mai

    fusūn-e-mulāqāt hai bā.is-e-be-qarārī

    junūn-e-mulāqāt rahtā hai taarī

    ki aksar mulāqāt hotī hai lekin mulāqāt ko tarastā hai paiham

    ka.ī baar is kaifiyat par hañsā huuñ

    hai ye kaisī daldal ki jis meñ phañsā huuñ

    ubhartā huuñ maiñ is gahrā.ī se bhī

    magar jaise phir Duub jaane ḳhātir

    ġhazab hai havas ye kas-bal

    mirā zehn bantā chalā rahā hai ḳhayālāt-e-fāsid daldal

    mera zehn banta chala ja raha hai KHayalat-e-fasid ki daldal

    ki mahsus hone laga hai

    meri zindagi mein rahegi hamesha hawas kar-farma

    ho sarma ki garma

    kabhi pyas bujhti nahin hai

    piyun jitni mai

    fusun-e-mulaqat hai bais-e-be-qarari

    junun-e-mulaqat rahta hai tari

    ki aksar mulaqat hoti hai lekin mulaqat ko ji tarasta hai paiham

    kai bar is kaifiyat par hansa hun

    hai ye kaisi daldal ki jis mein phansa hun

    ubharta hun main is ki gahrai se bhi

    magar jaise phir Dub jaane ki KHatir

    ghazab hai hawas ka ye kas-bal

    mera zehn banta chala ja raha hai KHayalat-e-fasid ki daldal

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now