darwaze par bistar
haañ yahī ghar hai jahāñ
mere kamre aur darvāze ke biich
dastakeñ hī dastakeñ thiiñ
aur merā hukm
ye kah do ki maiñ ghar par nahīñ
aaj darvāze pe bistar hai mirā
shor se andar ke bachne ke liye
duur kī aahaT pe saarā dhyān hai
ik razā.ī bhar bachā hai jab vujūd
kholnā kunDī bahut āsān hai
aaj darvāze pe bistar hai mirā
vaqt ne kam kar diyā hai fāsla
dastak kā mere kaan se
han yahi ghar hai jahan
mere kamre aur darwaze ke bich
dastaken hi dastaken thin
aur mera hukm
ye kah do ki main ghar par nahin
aaj darwaze pe bistar hai mera
shor se andar ke bachne ke liye
dur ki aahaT pe sara dhyan hai
ek razai bhar bacha hai jab wujud
kholna kunDi bahut aasan hai
aaj darwaze pe bistar hai mera
waqt ne kam kar diya hai fasla
dastak ka mere kan se
- Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 109)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.