Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dasht-e-adam ka sannaTa

Akbar Hyderabadi

dasht-e-adam ka sannaTa

Akbar Hyderabadi

MORE BYAkbar Hyderabadi

    kyā kyā manzar dekh rahī haiñ āñkheñ merī

    kab se un ujle shīshoñ par

    saa.e larzāñ haiñ

    kuchh dhundlā.e manzar armānoñ jādū-nagrī se

    siine tārīkī se

    jugnū mānind jhalakte rahte haiñ rañg badalte rahte haiñ

    band agar ho jaa.eñ ye āñkheñ

    saare manzar

    saare pas-manzar

    be-alfāz bayāñ sūrat

    ik kore kāġhaz meñ Dhal kar

    (yaksar ruup badal kar)

    Thahrī Thahrī āñkhoñ tanhā.ī meñ kho jā.eñge

    dasht-e-adam sannāTā ho jā.eñge

    kya kya manzar dekh rahi hain aankhen meri

    kab se un ujle shishon par

    sae larzan hain

    kuchh dhundlae manzar armanon ki jadu-nagri se

    sine ki tariki se

    jugnu ki manind jhalakte rahte hain rang badalte rahte hain

    band agar ho jaen ye aankhen

    sare manzar

    sare pas-manzar

    be-alfaz bayan ki surat

    ek kore kaghaz mein Dhal kar

    (yaksar rup badal kar)

    Thahri Thahri aankhon ki tanhai mein kho jaenge

    dasht-e-adam ka sannaTa ho jaenge

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now