Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

daur hamara baqi hai

Irsaal Murad

daur hamara baqi hai

Irsaal Murad

MORE BYIrsaal Murad

    ik baazī garche maat huī ik duniyā ab bhī baaqī hai

    ik sadī hamāre naam se thī ik daur hamārā baaqī hai

    manDī meñ sarmā.e jab insāñ beche jaate the

    jab ismat rusvā hotī thī jab mehnat kuchh mol na thā

    tab sangīnoñ nok pe ham ne amn-pharere bāñdhe the

    aise an-gin qisse haiñ har-chand fasāna baaqī hai

    taaj uchhāle haiñ ham ne aur taḳht pe ke baiThe haiñ

    āzādī raah meñ ham ne taḳhte phande chūme haiñ

    bastī bastī jaag uThī aur daur-e-nau bedār huā

    vo daur ki jis vā'da thā vo daur abhī par baaqī hai

    ek bazi garche mat hui ek duniya ab bhi baqi hai

    ek sadi hamare nam se thi ek daur hamara baqi hai

    manDi mein sarmae ki jab insan beche jate the

    jab ismat ruswa hoti thi jab mehnat ka kuchh mol na tha

    tab sanginon ki nok pe hum ne amn-pharere bandhe the

    aise an-gin qisse hain har-chand fasana baqi hai

    taj uchhaale hain hum ne aur taKHt pe ja ke baiThe hain

    aazadi ki rah mein hum ne taKHte phande chume hain

    basti basti jag uThi aur daur-e-nau bedar hua

    wo daur ki jis ka wa'da tha wo daur abhi par baqi hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now