Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

diwar qahqaha

Sajjad Baqar Rizvi

diwar qahqaha

Sajjad Baqar Rizvi

MORE BYSajjad Baqar Rizvi

    idhar na aao

    ki ye mahal ab shikast-e-shaukat dāstāñ hai

    ki ye mahal ab shikast-e-aqdār nishāñ hai

    ki ye mahal ab shikast-e-afkār fuġhāñ hai

    udhar na dekho

    ki ye khañDar hai jinnoñ bhūtoñ āstāñ hai

    ki ye umañgoñ be-basī ki baḌī tavīl ek dāstāñ hai

    ki ye hai maskan siyāh rātoñ har taraf bas dhuāñ dhuaa. Hai

    udhar jhāñko

    shikastā īñToñ in darāzoñ meñ chāñdnī bhī sisak rahī hai

    añdherī rātoñ kaalī nāgin siyāhiyoñ meñ chamak rahī hai

    kiran kiran ka lahū pi.e hai to mast hai aur bahakr rahī hai

    jo pahle tum us mahal meñ aate

    to rañg o naġhmā ke sail pur nuur se guzarte

    to aarzū sharāb meñ Dūbte ubharte

    rasīlī bāñhoñ meñ mīThe sapnoñ Duub kar kis sukūñ se marte

    jo pahle us samt se guzarte

    to ārzuoñ ke naġhma-e-dil nashīñ ko sunte

    bahut rote aur āñsuoñ se ka.ī na.e ḳhvāb apne bunte

    aur ek be-nām kaif-e-mastī meñ bkar apne sar ko dhunte

    jo pahle us dard ko khaTkāte

    hasīñ ummīdoñ ke pāsbāñ tum ko rañg o payām dete

    hare bhare sarv tum ko pariyoñ ke shāzāde naam dete

    ya baam o dar hañs ke tum ko pariyoñ ke shāhzāde naam dete

    aur ab jo aa.e. ho kyā milegā

    nigār ḳhāna ujaḌ chukā hai vo saarī mahfil uḳhaḌ ga.ī hai

    vo nik.hat aarzū bhī dīvānā vaar har-sū bhaTak rahī hai

    amiiñ thī jo dard-e-bekarāñ ki vo aah ghaT ghaT ke mar chukī hai

    aur ab yahāñ kis ko DhuñDte ho

    yahāñ pe tum chīḳhte rahoge javāb koī nahīñ milega

    yahāñ pe DhūñDte rahoge ye ḳhvāb koī nahīñ milegā

    yahāñ pe sher o sharāb o chañg o raubāb koī nahīñ milegā

    yahāñ pe kis ko bulā rahe ho

    yahāñ tumhārī sadāo. ke ḳhol guuñj ban kar uḌā kareñge

    vo khokhlī guuñj tum se pūchegaī aap yaañ aa ke kyā kareñge

    Daro ge ḳhud apne saaye se tum to bhut tum par hañsā kareñge

    udhar na aao

    udhar na aao yahāñ pe tum aa ke kyā karoge

    yahāñ pe bhūtoñ raqs dekhoge aur phir aap Daroge

    Daroge aa kaale kaale sāyoñ raqs

    dīvār darāzoñ se dekh kar tum bahut hañsoge

    bahut hañsoge

    ye ek dīvār-e-qahqahā

    idhar na aao

    ki ye mahal ab shikast-e-shaukat ki dastan hai

    ki ye mahal ab shikast-e-aqdar ka nishan hai

    ki ye mahal ab shikast-e-afkar ki fughan hai

    udhar na dekho

    ki ye khanDar hai jinnon ka bhuton ka aastan hai

    ki ye umangon ki be-basi ki baDi tawil ek dastan hai

    ki ye hai maskan siyah raaton ka har taraf bas dhuan dhua Hai

    udhar jhanko

    shikasta inTon ki in daraazon mein chandni bhi sisak rahi hai

    andheri raaton ki kali nagin siyahiyon mein chamak rahi hai

    kiran kiran ka lahu pie hai to mast hai aur bahakr rahi hai

    jo pahle tum us mahal mein aate

    to rang o naghma ke sail pur nur se guzarte

    to aarzu ki sharab mein Dubte ubharte

    rasili banhon mein miThe sapnon ki Dub kar kis sukun se marte

    jo pahle us samt se guzarte

    to aarzuon ke naghma-e-dil nashin ko sunte

    bahut hi rote aur aansuon se kai nae KHwab apne bunte

    aur ek be-nam kaif-e-masti mein Du bkar apne sar ko dhunte

    jo pahle us dard ko khaTkate

    hasin ummidon ke pasban tum ko rang o bu ka payam dete

    hare bhare sarw tum ko pariyon ke shazade ka nam dete

    ya baam o dar hans ke tum ko pariyon ke shahzade ka nam dete

    aur ab jo aae ho kya milega

    nigar KHana ujaD chuka hai wo sari mahfil uKHaD gai hai

    wo nikhat aarzu bhi diwana war har-su bhaTak rahi hai

    amin thi jo dard-e-bekaran ki wo aah ghaT ghaT ke mar chuki hai

    aur ab yahan kis ko DhunDte ho

    yahan pe tum chiKHte rahoge jawab koi nahin milega

    yahan pe DhunDte rahoge ye KHwab koi nahin milega

    yahan pe sher o sharab o chang o raubab koi nahin milega

    yahan pe kis ko bula rahe ho

    yahan tumhaari sadao ke KHol gunj ban kar uDa karenge

    wo khokhli gunj tum se puchegai aap yan aa ke kya karenge

    Daro ge KHud apne saye se tum to bhut tum par hansa karenge

    udhar na aao

    udhar na aao yahan pe tum aa ke kya karoge

    yahan pe bhuton ka raqs dekhoge aur phir aap hi Daroge

    Daroge aa kale ka kale sayon ka raqs

    diwar ki daraazon se dekh kar tum bahut hansoge

    bahut hansoge

    ye ek diwar-e-qahqaha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now