dilase teri yaadon ke
kahīñ anjān sāhil par kahīñ sunsān rāhoñ meñ
Dhale haiñ qahqahe mere 'safī' jab sard aahoñ meñ
to in vīrān āñkhoñ meñ diyā ummīd kā ban kar
mirī tārīk qismat ko hamesha jagmagāte haiñ
dilāse terī yādoñ ke
sahar kī tābnākī meñ yahī gul haiñ yahī ḳhushbū
añdherī raat meñ taare bane haiñ vo kabhī jugnū
mire man meñ utarte haiñ kabhī naġhmāt kī sūrat
hazāroñ rang se aa kar mire dil ko lubhāte haiñ
dilāse terī yādoñ ke
kahīñ vo shak kī dhartī se yaqīñ ban kar ubharte haiñ
kahīñ palkoñ se ashkoñ ke vo motī ban ke girte haiñ
kahīñ āvārgī meñ ham-safīr o ham-safar mere
kahīñ ḳhvāboñ kī duniyā meñ mujhe vo gungunāte haiñ
dilāse terī yādoñ ke
kabhī vo chāñd kī sūrat kabhī vo kahkashāñ ban kar
kabhī sūraj kī tarh raushnī ke tarjumāñ ban kar
mujhe vo tīrgī meñ manziloñ kī rah dikhāte haiñ
shab-e-tārīk meñ tāroñ kī tarh TimTimāte haiñ
dilāse terī yādoñ ke
kabhī patjhaḌ kī shāmoñ meñ kabhī pur-kaif sāvan meñ
kabhī ūñche pahāḌoñ par kabhī vaadī ke dāman meñ
kabhī dariyā kī maujoñ par khī sahrā kī vus'at meñ
parindoñ kī tarah shāḳh-e-nazar par chahchahāte haiñ
dilāse terī yādoñ ke
yahī ummīd kā markaz yahī haiñ soch kā mehvar
sajī rahtī hai un hī se mirī mahfil yūñhī shab bhar
maiñ tanhā huuñ ye tanhā.ī meñ aksar bhuul jaatā huuñ
'safī' is taur se aa kar gale mujh ko lagāte haiñ
kahin anjaan sahil par kahin sunsan rahon mein
Dhale hain qahqahe mere 'safi' jab sard aahon mein
to in viran aankhon mein diya ummid ka ban kar
meri tarik qismat ko hamesha jagmagate hain
dilase teri yaadon ke
sahar ki tabnaki mein yahi gul hain yahi KHushbu
andheri raat mein tare bane hain wo kabhi jugnu
mere man mein utarte hain kabhi naghmat ki surat
hazaron rang se aa kar mere dil ko lubhate hain
dilase teri yaadon ke
kahin wo shak ki dharti se yaqin ban kar ubharte hain
kahin palkon se ashkon ke wo moti ban ke girte hain
kahin aawargi mein ham-safir o ham-safar mere
kahin KHwabon ki duniya mein mujhe wo gungunate hain
dilase teri yaadon ke
kabhi wo chand ki surat kabhi wo kahkashan ban kar
kabhi suraj ki tarh raushni ke tarjuman ban kar
mujhe wo tirgi mein manzilon ki rah dikhate hain
shab-e-tarik mein taron ki tarh TimTimate hain
dilase teri yaadon ke
kabhi patjhaD ki shamon mein kabhi pur-kaif sawan mein
kabhi unche pahaDon par kabhi wadi ke daman mein
kabhi dariya ki maujon par khi sahra ki wus'at mein
parindon ki tarah shaKH-e-nazar par chahchahate hain
dilase teri yaadon ke
yahi ummid ka markaz yahi hain soch ka mehwar
saji rahti hai un hi se meri mahfil yunhi shab bhar
main tanha hun ye tanhai mein aksar bhul jata hun
'safi' is taur se aa kar gale mujh ko lagate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.