Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dilli

MORE BYGulzar Dehlvi

    Interesting Fact

    Dilli ki ik Shahr thaa aalam mein intikhaab

    dillī ki is jahāñ meñ azīm-o-qadīm hai

    ilm-o-fan-o-hunar sadā se na.iim hai

    allāh is azmat-e-dīñ aliim hai

    tafsīr-e-dil hadīs-e-ḳhudī fahīm hai

    gītā-purān ke bhī fasāne meñ zikr hai

    tārīḳh se bhī qabl zamāne meñ zikr hai

    dillī pāḌavoñ ke tarāne meñ zikr hai

    indar-prasth tak ke sajāne meñ zikr hai

    dillī sadā se markaz-e-bazm-e-shahāñ rahī

    samrāT chakrvartī o shāh-e-jahāñ rahī

    pīrāna-sāl ho ke bhī har-dam javāñ rahī

    pachchīs baar luT ke bhī ye kahkashāñ rahī

    mañgol shak kushān darāviḌ ki hoon hoñ

    vo āriya arab hoñ ki ahl-e-funūn huuñ

    vaidik hoñ bodh jain ki ahl-e-junūn hoñ

    qaum-e-arab ke hoñ ki musalmāñ ke ḳhuun hoñ

    duniyā kitnī nasloñ ne is ko sajāyā hai

    har dharm diin zaat ne is ko basāyā hai

    sāre-jahāñ meñ ishq markaz rahī sadā

    sāre-jahāñ meñ Dañkā isī shahr bajā

    barbādiyoñ se aaj bachāo use rafīq

    'gulzār'-e-hind phir se banāo ise rafīq

    dilli ki is jahan mein azim-o-qadim hai

    ilm-o-fan-o-hunar ki sada se naim hai

    allah is ki azmat-e-din ka alim hai

    tafsir-e-dil hadis-e-KHudi ka fahim hai

    gita-puran ke bhi fasane mein zikr hai

    tariKH se bhi qabl zamane mein zikr hai

    dilli ka paDawon ke tarane mein zikr hai

    indar-prasth tak ke sajaane mein zikr hai

    dilli sada se markaz-e-bazm-e-shahan rahi

    samraT chakrwarti o shah-e-jahan rahi

    pirana-sal ho ke bhi har-dam jawan rahi

    pachchis bar luT ke bhi ye kahkashan rahi

    mangol shak kushan darawiD ki hoon hon

    wo aariya arab hon ki ahl-e-funun hun

    waidik hon bodh jain ki ahl-e-junun hon

    qaum-e-arab ke hon ki musalman ke KHun hon

    duniya ki kitni naslon ne is ko sajaya hai

    har dharm din zat ne is ko basaya hai

    sare-jahan mein ishq ka markaz rahi sada

    sare-jahan mein Danka isi shahr ka baja

    barbaadiyon se aaj bachao use rafiq

    'gulzar'-e-hind phir se banao ise rafiq

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now