Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

din ke ujale ki koi haqiqat to raat ka andhera bhi wajud rakhta hai

Javed Nadeem

din ke ujale ki koi haqiqat to raat ka andhera bhi wajud rakhta hai

Javed Nadeem

MORE BYJaved Nadeem

    din ke ujāle koī haqīqat to raat añdherā bhī vajūd rakhtā hai

    ham havā ko chhū nahīñ sakte havā hameñ chhūtī hai

    maiñ agar tum se nafrat kartā huuñ to mere dil meñ tumhāre liye mohabbat

    bhī hai

    mohabbat aur nafrat donoñ zindagī haiñ

    jis tarah raat aur din

    āsā.ish agar zindagī hai to be-mā.egī aur masā.ib bhī

    jāgnā zindagī hai to niiñd aur niiñd meñ ḳhvāboñ aanā bhī

    samundar pahāḌ agar kā.enāt juz haiñ to hamāre dil dhaḌkaneñ bhī

    paidā.ish zindagī hai to maut āḳhirī pal bhī

    in sab chīzoñ ko kyā tum zindagī se alag kar sakte ho

    zindagī meñ zindagī samā.ī huī hai

    zindagī kabhī fanā nahīñ hotī

    ye shakleñ badal kar tumhāre sāmne aa.egī

    paidā.ish aur maut zindagī ke do naam haiñ

    safar ibtidā-o-intihā

    safar jo zindagī hai

    aur zindagī kā.enāt dūsrī baḌī sachchā.ī

    mauj andar mauj samundar tarah asrār-e-ḳhazā.in liye hue

    tum agar is dūsrī baḌī sachchā.ī ko samajh sake

    to

    kā.enāt pahlī baḌī sachchā.ī tum par ḳhud-baḳhud āshkār ho jā.egī

    din ke ujale ki koi haqiqat to raat ka andhera bhi wajud rakhta hai

    hum hawa ko chhu nahin sakte hawa hamein chhuti hai

    main agar tum se nafrat karta hun to mere dil mein tumhaare liye mohabbat

    bhi hai

    mohabbat aur nafrat donon hi zindagi hain

    jis tarah raat aur din

    aasaish agar zindagi hai to be-maegi aur masaib bhi

    jagna zindagi hai to nind aur nind mein KHwabon ka aana bhi

    samundar pahaD agar kaenat ka juz hain to hamare dil ki dhaDkanen bhi

    paidaish zindagi hai to maut ka aaKHiri pal bhi

    in sab chizon ko kya tum zindagi se alag kar sakte ho

    zindagi mein zindagi samai hui hai

    zindagi kabhi fana nahin hoti

    ye shaklen badal kar tumhaare samne aaegi

    paidaish aur maut zindagi ke hi do nam hain

    safar ki ibtida-o-intiha

    safar jo zindagi hai

    aur zindagi kaenat ki dusri baDi sachchai

    mauj andar mauj samundar ki tarah asrar-e-KHazain liye hue

    tum agar is dusri baDi sachchai ko samajh sake

    to

    kaenat ki pahli baDi sachchai tum par KHud-baKHud aashkar ho jaegi

    Source:

    Mauj-e-Khayal (Pg. 43)

    • Author: Javed Nadeem
      • Publisher: Takmeel Publications, Mumbai
      • Year of Publication: 2002
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now