Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

do chiDiyan

Salam Sandelvi

do chiDiyan

Salam Sandelvi

MORE BYSalam Sandelvi

    yaad hai aaj bhī mujh ko vo tarab-ḳhez samāñ

    ik hasīñ shāḳh pe baiThī huī thiiñ do chiḌiyāñ

    ishva-o-ġhamza andāz meñ thiiñ lā-sānī

    un tasvīr se zāhir thā kamāl-e-mānī

    un ke naġhmoñ se bahak jaatā thā gulshan saarā

    un āvāz se ruk jaatā thā bahtā dhārā

    un har taan pe ho jaatī thiiñ shāḳheñ raqsāñ

    un ke har giit se ho jaate the ġhunche ḳhandāñ

    dil meñ rakh lete the gul un adā.eñ chun kar

    jhuum uThtī thī havā un sadā.eñ sun kar

    us hasīñ shāḳh se ab uḌ ga.iiñ donoñ chiḌiyāñ

    ab javānān-e-chaman karte haiñ fariyād-o-fuġhāñ

    ho gayā ab chamanistāñ nazāra sunsān

    rāste ho ga.e ḳhāmosh ravish hai vīrān

    un hasīñ chiḌiyoñ se kartā thā mohabbat maiñ bhī

    un ke naġhmoñ se basā letā thā jannat maiñ bhī

    mujh se ab dekhī nahīñ jaatī hai vo vīrāñ shāḳh

    mujh ko kar detī hai maġhmūm vo ab be-jāñ shāḳh

    jab vo naġhme nahīñ haiñ to chaman hai bekār

    us taraf jaao to chal jaatī hai dil par talvār

    yaad hai aaj bhi mujh ko wo tarab-KHez saman

    ek hasin shaKH pe baiThi hui thin do chiDiyan

    ishwa-o-ghamza andaz mein thin la-sani

    un ki taswir se zahir tha kamal-e-mani

    un ke naghmon se bahak jata tha gulshan sara

    un ki aawaz se ruk jata tha bahta dhaara

    un ki har tan pe ho jati thin shaKHen raqsan

    un ke har git se ho jate the ghunche KHandan

    dil mein rakh lete the gul un ki adaen chun kar

    jhum uThti thi hawa un ki sadaen sun kar

    us hasin shaKH se ab uD gain donon chiDiyan

    ab jawanan-e-chaman karte hain fariyaad-o-fughan

    ho gaya ab chamanistan ka nazara sunsan

    raste ho gae KHamosh rawish hai viran

    un hasin chiDiyon se karta tha mohabbat main bhi

    un ke naghmon se basa leta tha jannat main bhi

    mujh se ab dekhi nahin jati hai wo viran shaKH

    mujh ko kar deti hai maghmum wo ab be-jaan shaKH

    jab wo naghme hi nahin hain to chaman hai bekar

    us taraf jao to chal jati hai dil par talwar

    Source:

    Barg-o-Bar (Pg. 116)

    • Author: Salam Sandelvi
      • Publisher: Naseem Book Depot, Lucknow
      • Year of Publication: 1976
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now