Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

doraha

MORE BYMohammad Deen Taseer

    rail-gāḌī ye ghamsān ilāhī tauba

    na muravvat na takalluf na tabassum na adā

    yūñhī ik ġhair-shu.ūrī ḳhushūnat ḳharosh

    be-irāda hai to kyā ġhair-shu.ūrī hai to kyā

    ye na.e daur ke ehsās-e-ġhulāmī zuhūr

    intiqāma tahakkum numūd

    is meñ ik iz.hār-e-baġhāvat bhī to hai

    yūñhī yūñhī sahī

    ik shā.iba-e-dād-e-shujā.at bhī to hai

    chaak to kartā huuñ maiñ apnā garebāñ sahī

    kulbulātī huī maḳhlūq is daldal meñ

    siina taane hue kuchh log baḌhe jaate haiñ

    ḳhuub phunkārte phan phailā.e

    log vo log nahīñ

    jin ko Thukrāte hue jaate haiñ

    ye log baḌe sāhab log

    ye jo hukkām hamāre haiñ ye hukkām nahīñ

    jo hameñ se haiñ magar ham meñ nahīñ

    ye jo bandoñ ke haiñ aaqā magar aaqā ke ġhulām

    bā-vafā huuñ to huuñ be-dām nahīñ

    dost kisī bhī sitamgar na huā thā

    un pe duniyā har ik raah kushāda hai magar

    aaj ik sañg-e-garāñ haa.il hai

    ki uThā.e na uThe aur hilā.e na hile

    dūsre darje ke darvāze meñ

    un ke āqāoñ ik fard farañgī gorā

    bāheñ phailā.e hue rāsta roke hai khaḌā

    kaun hotā hai harīf-e-mai-e-mard afgan-e-ishq

    sīTiyāñ bajne lagīñ ḳhidmat-e-sarkār bajā laanā hai

    aur sarkār ḳhud sañg-e-rah-e-manzil hai

    zindagī aa ga.ī dorāhe par

    der kyuuñ karte ho bhāgo bhāgo

    dauḌ kar third ke Darbe meñ ghuso

    apne ham-jins ġhulāmoñ meñ milo

    zindagī aa ga.ī dorāhe par

    rail-gaDi ye ghamsan ilahi tauba

    na murawwat na takalluf na tabassum na ada

    yunhi ek ghair-shuuri si KHushunat ka KHarosh

    be-irada hai to kya ghair-shuuri hai to kya

    ye nae daur ke ehsas-e-ghulami ka zuhur

    intiqama tahakkum ki numud

    is mein ek izhaar-e-baghawat bhi to hai

    yunhi yunhi sahi

    ek shaiba-e-dad-e-shujaat bhi to hai

    chaak to karta hun main apna gareban hi sahi

    kulbulati hui maKHluq ki is daldal mein

    sina tane hue kuchh log baDhe jate hain

    KHub phunkarte phan phailae

    log wo log nahin

    jin ko Thukraate hue jate hain

    ye log baDe sahab log

    ye jo hukkaam hamare hain ye hukkaam nahin

    jo hamein se hain magar hum mein nahin

    ye jo bandon ke hain aaqa magar aaqa ke ghulam

    ba-wafa hun to hun be-dam nahin

    tu dost kisi ka bhi sitamgar na hua tha

    un pe duniya ki har ek rah kushada hai magar

    aaj ek sang-e-garan hail hai

    ki uThae na uThe aur hilae na hile

    dusre darje ke darwaze mein

    un ke aaqaon ka ek fard farangi gora

    bahen phailae hue rasta roke hai khaDa

    kaun hota hai harif-e-mai-e-mard afgan-e-ishq

    siTiyan bajne lagin KHidmat-e-sarkar baja lana hai

    aur sarkar hi KHud sang-e-rah-e-manzil hai

    zindagi aa gai dorahe par

    der kyun karte ho bhago bhago

    dauD kar third ke Darbe mein ghuso

    apne ham-jins ghulamon mein milo

    zindagi aa gai dorahe par

    Source:

    Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 46)

    • Author: Munavvar Jameel
      • Edition: 2000
      • Publisher: Haji Haneef Printer Lahore
      • Year of Publication: 2000
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now