Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dost ruKHsat ho gae

Ghalib Ahmad

dost ruKHsat ho gae

Ghalib Ahmad

MORE BYGhalib Ahmad

    dost ruḳhsat ho ga.e

    un se mulāqāteñ ga.iiñ bāteñ ga.iiñ

    shahar thā ābād jin ke dam-qadam se

    vo hamārī chāñdnī rāteñ ga.iiñ

    marne vaale mar ga.e

    zinda magar ham bhī nahīñ

    vo to ġhusl-e-āḳhirī le kar hue phir tāzgī se āshnā

    nithre suthre oḌh kar apnī safedī ke kafan

    kāfūr ḳhushbū ko nathunoñ meñ samā.e

    so ga.e ārām se ThanDe badan

    apnī apnī qabr par takiya kiye

    vo thakan is musalsal sarsarāhaT se to ab āzād haiñ

    saañs zanjīr se laTke hue

    jāgte rahne kāvish aur lagan

    is tag-o-dau se pare ābād haiñ

    aur ham

    jo is kināre par khaḌe

    roz-o-shab lahroñ karte haiñ shumār

    āp-bītī roz sunte haiñ

    magar ḳhāmosh haiñ

    ḳhāmushī se bahtā paanī

    roz bahtā dekhte haiñ

    Duub jaane magar himmat nahīñ

    kaun jaane Duub jaa.eñ kahīñ

    Duub jaao chale aao idhar

    baaz aao aur phir zinda raho

    sātvāñ dar bhī khulā hai muntazir

    dāġh-e-hijrat de ga.e ḳhushbū ke phuul

    kaun ab ban kar charāġh-e-rāh tum ko

    haath se uñglī pakaḌ kar

    tifl-e-maktab tarah le kar baḌhe

    aur ye kahe

    maut lamha hamārī zindagī aa gayā

    jism ThanDak to dastak de rahī hai

    aao kuchh bāteñ kareñ

    aur phir chaleñ

    dost ruḳhsat ho ga.e

    dost ruKHsat ho gae

    un se mulaqaten gain baaten gain

    shahar tha aabaad jin ke dam-qadam se

    wo hamari chandni raaten gain

    marne wale mar gae

    zinda magar hum bhi nahin

    wo to ghusl-e-aKHiri le kar hue phir tazgi se aashna

    nithre suthre oDh kar apni safedi ke kafan

    kafur ki KHushbu ko nathunon mein samae

    so gae aaram se ThanDe badan

    apni apni qabr par takiya kiye

    wo thakan ki is musalsal sarsarahaT se to ab aazad hain

    sans ki zanjir se laTke hue

    jagte rahne ki kawish aur lagan

    is tag-o-dau se pare aabaad hain

    aur hum

    jo is kinare par khaDe

    roz-o-shab lahron ka karte hain shumar

    aap-biti roz sunte hain

    magar KHamosh hain

    KHamushi se bahta pani

    roz bahta dekhte hain

    Dub jaane ki magar himmat nahin

    kaun jaane Dub hi jaen kahin

    Dub jao ya chale aao idhar

    baz aao aur phir zinda raho

    satwan dar bhi khula hai muntazir

    dagh-e-hijrat de gae KHushbu ke phul

    kaun ab ban kar charagh-e-rah tum ko

    hath se ungli pakaD kar

    tifl-e-maktab ki tarah le kar baDhe

    aur ye kahe

    maut ka lamha hamari zindagi ka aa gaya

    jism ki ThanDak to dastak de rahi hai

    aao kuchh baaten karen

    aur phir chalen

    dost ruKHsat ho gae

    Source:

    Rahat-e-Gumnam (Pg. 101)

    • Author: Ghalib Ahmad
      • Publisher: Niyaz Ahmad
      • Year of Publication: 1981
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now