ehtijaj
dhuāñ
bārūd
hangāma
lagī hai aag sīnoñ meñ
khaḌe haiñ kuchh
lab-e-sāhil
haiñ baiThe kuchh
safīnoñ meñ
chhupā baiThā koī
ghar meñ chhupā koī zamīnoñ meñ
hameñ jiinā hai
lekin
zindagī apnī
kamīnoñ meñ
koī mil jā.egā shāyad
bhalā-changā
makīnoñ meñ
ye sab
aadam ke beTe haiñ
ḳhudā ne vāste in ke
kiyā sansār ye
paidā
inhīñ ke vāste us ne
banā.e chāñd
ye
taare
banā.ī kahkashāñ us ne
banā.e
bahr-o-bar saare
lagāyā in kī ḳhidmat par
zamīnoñ ko zamānoñ ko
sahīfe us ne bheje
aur sajāyā āsmānoñ ko
bahisht-e-ḳhuld kī ābād
us ne
mah-jabīnoñ se
bhagāyā ḳhuld se
iblīs ko
saare kamīnoñ ko
magar
shaitān ab ye pūchhtā hai
kaun munkir hai
vo maiñ huuñ
yā ki
aadam kā koī beTā
koī bhī ho
tire bande
ḳhudā tū le jā
dhuan
barud
hangama
lagi hai aag sinon mein
khaDe hain kuchh
lab-e-sahil
hain baiThe kuchh
safinon mein
chhupa baiTha koi
ghar mein chhupa koi zaminon mein
hamein jina hai
lekin
zindagi apni
kaminon mein
koi mil jaega shayad
bhala-changa
makinon mein
ye sab
aadam ke beTe hain
KHuda ne waste in ke
kiya sansar ye
paida
inhin ke waste us ne
banae chand
ye
tare
banai kahkashan us ne
banae
bahr-o-bar sare
lagaya in ki KHidmat par
zaminon ko zamanon ko
sahife us ne bheje
aur sajaya aasmanon ko
bahisht-e-KHuld ki aabaad
us ne
mah-jabinon se
bhagaya KHuld se
iblis ko
sare kaminon ko
magar
shaitan ab ye puchhta hai
kaun munkir hai
wo main hun
ya ki
aadam ka koi beTa
koi bhi ho
tere bande
KHuda tu le ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.