ek ajnabi silsila
mujh ko pahchān kī tishnagī
dasht-o-sahrā meñ barsoñ uḌaa.e phirī
merā 'ifrīt mujh ko milā
reg-zār-e-barahna ke un sāhiloñ par
jahāñ se ubhartā thā barfāb vaadī kā ik ajnabī silsila
maiñ ne har sā'at-e-qatl meñ
us se pochhā thā zanjīr-e-pā
sirf merī thī kyoñ kis liye kis tarah
ye 'anāsir kī fitrat ko kyā ho gayā
dasht meñ barf meñ
mere 'ifrīt kā rang kyoñ zard thā
ret se barf tak
anginat rang the
us ne hamrāz kyoñ muntaḳhab us ajnabī ko kiyā
jis ko pahchān kā dard hāsil na thā
jo farāz-e-tamanna ke qābil na thā
maiñ ne tafrīq ke zikr se
apne ham-zād ko
dā’vat-e-kunba-e-jāvedāñ kā asāsa diyā
us ko barham kiyā
us ke jabḌoñ meñ ḳhūñḳhār vo āhanī ishtihā
aaj tartīb dī
jis kī taḳhlīq se
vo ḳhudāoñ kī āvāz par chhā gayā
maiñ sadāoñ kī pahchān thā
maiñ ḳhumār-e-talāsh-e-farāvāñ se sarshār thā
mujh pe jangal kī āñkhoñ ke saffāk ḳhanjar chalātā huā
mere imkān ke chīthḌe khā gayā
mujh ko pahchan ki tishnagi
dasht-o-sahra mein barson uDae phiri
mera 'ifrit mujh ko mila
reg-zar-e-barahna ke un sahilon par
jahan se ubharta tha barfab wadi ka ek ajnabi silsila
main ne har sa'at-e-qatl mein
us se pochha tha zanjir-e-pa
sirf meri thi kyon kis liye kis tarah
ye 'anasir ki fitrat ko kya ho gaya
dasht mein barf mein
mere 'ifrit ka rang kyon zard tha
ret se barf tak
anginat rang the
us ne hamraaz kyon muntaKHab us ajnabi ko kiya
jis ko pahchan ka dard hasil na tha
jo faraaz-e-tamanna ke qabil na tha
main ne tafriq ke zikr se
apne ham-zad ko
da’wat-e-kunba-e-jawedan ka asasa diya
us ko barham kiya
us ke jabDon mein KHunKHar wo aahani ishtiha
aaj tartib di
jis ki taKHliq se
wo KHudaon ki aawaz par chha gaya
main sadaon ki pahchan tha
main KHumar-e-talash-e-farawan se sarshaar tha
mujh pe jangal ki aankhon ke saffak KHanjar chalata hua
mere imkan ke chithDe kha gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.