amal kī azm kī iḳhlās-e-niyyat kī zarūrat hai
vatan se ai vatan vaalo mohabbat kī zarūrat hai
zarūrat hai ki ik dil aur ik āvāz ho jaao
haqīqat to yahī hai ab haqīqat kī zarūrat hai
kahāñ tak millatoñ ke iḳhtilāfāt aa.e din hoñge
har ik millat se ab to mail-e-millat kī zarūrat hai
zabānī ḳhādim-e-mulk-o-vatan banñā to hai āsāñ
agar maḳhdūm banñā hai to ḳhidmat kī zarūrat hai
tumhārā har amal kirdār-e-indirā kā namūna ho
muravvat kī sadāqat kī hamiyyat kī zarūrat hai
ḳhayālī jannateñ bantī rahīñ bazm-e-tasavvur meñ
amal se jo bane ab aisī jannat kī zarūrat hai
zabāñ se jo kaho apnī vahī dil kā tarāna ho
ham-āhangī ko bhī sāz-e-haqīqat kī zarūrat hai
faqat phūloñ kī ḳhush-rangī se ai 'takmīl' kyā hāsil
jo duniyā ko basānā hai to nik.hat kī zarūrat hai