aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek laDki ka git

Akhtar Shirani

ek laDki ka git

Akhtar Shirani

MORE BYAkhtar Shirani

    jahāñ chiḌiyāñ ghanerī jhāḌiyoñ meñ chahchahātī hoñ

    jahāñ shāḳhoñ pe kaliyāñ nit na.ī ḳhushbū luTātī hoñ

    aur un par koyaleñ ke mīThe giit gaatī hoñ

    vahāñ maiñ huuñ mirī ham-joliyāñ hoñ aur jhūlā ho

    jahāñ barsāt ke mausam meñ sabza lahlahātā ho

    havā chheḌ se ek ek pattā thartharātā ho

    jahāñ chashmoñ paanī narm lai meñ gungunātā ho

    vahāñ maiñ huuñ merī ham-joliyāñ hoñ aur jhūlā ho

    jahāñ ūñche pahāḌoñ par ghaTā.eñ ghir ke aatī hoñ

    havā god meñ nīlam pariyāñ muskurātī hoñ

    aur apne nīlgūñ hoñToñ se motī meñ luTātī hoñ

    vahāñ maiñ huuñ merī ham-joliyāñ hoñ aur jhūlā ho

    jahāñ nahroñ meñ bahtā paanī motī chhalaktā ho

    jahāñ chāroñ taraf gulzār meñ sabza lahaktā ho

    jahāñ phūloñ ḳhushbuoñ se ban ban mahaktā ho

    vahāñ maiñ huuñ mirī ham-joliyāñ hoñ aur jhūlā ho

    jahāñ phūloñ ḳhushbuoñ se ban ban mahaktā ho

    jahāñ bāġhoñ meñ aur khetoñ meñ har dil lahaktā ho

    jahāñ Tesū ke ik ik phuul meñ sho.ala dahaktā ho

    vahāñ maiñ huuñ mirī ham-joliyāñ hoñ aur jhūlā ho

    jahāñ aamoñ ke hoñ baaġh aur koī rakhvālā na ho hargiz

    koī kuttā bhī maalī ne jahāñ paalā na ho hargiz

    aur ammāñ koī dekhne vaalā na ho hargiz

    vahāñ maiñ huuñ mirī ham-joliyāñ hoñ aur jhūlā ho

    ilāhī mere dil aarzū jaldī se puurī ho

    vahāñ le chal jahāñ is fasl meñ jaanā zarūrī ho

    marī ho shimla ho solan ho dalhozī masūrī ho

    vahāñ maiñ huuñ mirī ham-joliyāñ hoñ aur jhūlā ho

    jahan chiDiyan ghaneri jhaDiyon mein chahchahati hon

    jahan shaKHon pe kaliyan nit nai KHushbu luTati hon

    aur un par koyalen ku ku ke miThe git gati hon

    wahan main hun meri ham-joliyan hon aur jhula ho

    jahan barsat ke mausam mein sabza lahlahata ho

    hawa ki chheD se ek ek patta thartharaata ho

    jahan chashmon ka pani narm lai mein gungunata ho

    wahan main hun meri ham-joliyan hon aur jhula ho

    jahan unche pahaDon par ghaTaen ghir ke aati hon

    hawa ki god mein nilam ki pariyan muskuraati hon

    aur apne nilgun honTon se moti mein luTati hon

    wahan main hun meri ham-joliyan hon aur jhula ho

    jahan nahron mein bahta pani moti sa chhalakta ho

    jahan chaaron taraf gulzar mein sabza lahakta ho

    jahan phulon ki KHushbuon se ban ka ban mahakta ho

    wahan main hun meri ham-joliyan hon aur jhula ho

    jahan phulon ki KHushbuon se ban ka ban mahakta ho

    jahan baghon mein aur kheton mein har ya dil lahakta ho

    jahan Tesu ke ek ek phul mein shoala dahakta ho

    wahan main hun meri ham-joliyan hon aur jhula ho

    jahan aamon ke hon bagh aur koi rakhwala na ho hargiz

    koi kutta bhi mali ne jahan pala na ho hargiz

    aur amman ji sa koi dekhne wala na ho hargiz

    wahan main hun meri ham-joliyan hon aur jhula ho

    ilahi mere dil ki aarzu jaldi se puri ho

    wahan le chal jahan is fasl mein jaana zaruri ho

    mari ho shimla ho solan ho dalhozi masuri ho

    wahan main hun meri ham-joliyan hon aur jhula ho

    Source:

    Kulliyat-e-Akhtar Sheerani (Pg. 585)

    • Author: Akhtar Shirani
      • Publisher: New Taj Office, Delhi

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now