Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek lambi kafir laDki

Tabassum Kashmiri

ek lambi kafir laDki

Tabassum Kashmiri

MORE BYTabassum Kashmiri

    vaadī sab se lambī laḌkī ke jism ke sab masāmoñ se

    resham se zyāda mulā.em aur narm ḳhamoshī meñ

    ghanTiyoñ āvāzeñ aa rahī thiiñ

    barkhā us nam-zada raat meñ

    jab us ke jism pe qaus-e-quzah chamkī

    to ghanTiyāñ tez tez bajne lagīñ

    mire kānoñ meñ āhaTeñ aa rahī thiiñ

    dhund se bhī narm aur mulā.em bādaloñ dabe paañv āhaTeñ

    vo jab resham ke kachche tāroñ se banī huī

    raat ke farsh par leTī

    to qaus-e-quzah aur bhī shoḳh aur garm rañgoñ meñ Dhalne lagī

    vo saiñkaḌoñ rañgoñ se murattab-shuda laḌkī

    raat ga.e tak garm rañgoñ meñ pighaltī ga.ī

    sub.h hone par sūraj pahlī kiran

    rauzan se kamre meñ dāḳhil huī

    to us ke jism se

    raat ḳhvābīda ghanTiyoñ āvāzeñ sun kar

    aur us ke jism pe so.e hue garm rañgoñ ko dekh kar

    ek dam sharmā ga.ī

    vaadī sab se lambī laḌkī

    dhund se bhī narm aur resham se mulā.em

    wadi ki sab se lambi laDki ke jism ke sab masamon se

    resham se zyaada mulaem aur narm KHamoshi mein

    ghanTiyon ki aawazen aa rahi thin

    barkha ki us nam-zada raat mein

    jab us ke jism pe qaus-e-quzah chamki

    to ghanTiyan tez tez bajne lagin

    mere kanon mein aahaTen aa rahi thin

    dhund se bhi narm aur mulaem baadalon ki dabe panw aahaTen

    wo jab resham ke kachche taron se bani hui

    raat ke farsh par leTi

    to qaus-e-quzah aur bhi shoKH aur garm rangon mein Dhalne lagi

    wo sainkaDon rangon se murattab-shuda laDki

    raat gae tak garm rangon mein pighalti gai

    subh hone par suraj ki pahli kiran

    rauzan se kamre mein daKHil hui

    to us ke jism se

    raat ki KHwabida ghanTiyon ki aawazen sun kar

    aur us ke jism pe soe hue garm rangon ko dekh kar

    ek dam sharma gai

    wadi ki sab se lambi laDki

    dhund se bhi narm aur resham se mulaem

    Source:

    Prindey,phool taalab (Pg. 58)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now