Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek manzar, ek aalam

Aziz Qaisi

ek manzar, ek aalam

Aziz Qaisi

MORE BYAziz Qaisi

    din Dhale

    mandiroñ ke kalas masjidoñ ke manāre gharoñ chhateñ

    sone chāñdī ke paanī se Dhulne lage

    qulla-e-koh se chashm-e-nazzāra lekin baḌī duur tak

    pighle sone chādar ke nīche taḌaptā huā

    gahrī zulmat ek bahr-e-zaḳhḳhār bhī

    dekhtī rah ga.ī

    kaisā manzar hai ye

    maiñ abhī umr ke Dhalte sūraj duniyā nahīñ

    phir bhī mere sunahre dopahre tabassum ke nīche kahīñ

    āñsuoñ samundar na bechain ho

    nīche aao zarā raf.at-e-bām se

    aur dekho kabhī

    kaisā aalam hai ye

    din Dhale

    mandiron ke kalas masjidon ke manare gharon ki chhaten

    sone chandi ke pani se Dhulne lage

    qulla-e-koh se chashm-e-nazzara lekin baDi dur tak

    pighle sone ki chadar ke niche taDapta hua

    gahri zulmat ka ek bahr-e-zaKHKHar bhi

    dekhti rah gai

    kaisa manzar hai ye

    main abhi umr ke Dhalte suraj ki duniya nahin

    phir bhi mere sunahre dopahre tabassum ke niche kahin

    aansuon ka samundar na bechain ho

    niche aao zara rafat-e-baam se

    aur dekho kabhi

    kaisa aalam hai ye

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    ek manzar, ek aalam Nomaan Shauque

    related content

    Nazm

    manzar se pas manzar tak

    khiDki par mahtab Tika tha

    Mohammad Ahmad
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now