Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

manzar se pas manzar tak

Mohammad Ahmad

manzar se pas manzar tak

Mohammad Ahmad

MORE BYMohammad Ahmad

    khiḌkī par mahtāb Tikā thā

    raat sunahrī thī

    aur dīvār pe saa.at gintī

    soī soī ghaḌī suuī

    chalte chalte samt gañvā kar ġhaltāñ pechāñ thī

    maiñ bhī ḳhud se aañkh churā kar

    apne haal se haath chhuḌā kar

    barsoñ ko farsang banā kar

    jaane kitnī duur chalā thā

    jaane kis ko DhūñD rahā thā

    dhuñdle dhuñdle chehre kaise rang rañgīle the

    piile piile phuul the āñchal niile niile the

    kyā chamkīlī āñkheñ kaise ḳhvāb sajīle the

    lekin āñkheñ nam thiiñ manzar siile siile the

    ik chehra thā raushan jaise chāñd ghaTāoñ meñ

    ik muskān thī jaise bikhreñ rang fazāoñ meñ

    manzar manzar taktā jaatā chaltā jaatā maiñ

    is manzar se us manzar tak baḌhtā jaatā maiñ

    ik tasvīr ko ruk kar dekhā ruk nahīñ paayā maiñ

    is khiḌkī se us āñgan tak jhuk nahīñ paayā maiñ

    jaise is shab chalte rahnā qismat Thahrī thī

    mere ta.āqub meñ

    yādoñ pachhal-pairī thī

    khiDki par mahtab Tika tha

    raat sunahri thi

    aur diwar pe saat ginti

    soi soi ghaDi ki sui

    chalte chalte samt ganwa kar ghaltan pechan thi

    main bhi KHud se aankh chura kar

    apne haal se hath chhuDa kar

    barson ko farsang bana kar

    jaane kitni dur chala tha

    jaane kis ko DhunD raha tha

    dhundle dhundle chehre kaise rang rangile the

    pile pile phul the aanchal nile nile the

    kya chamkili aankhen kaise KHwab sajile the

    lekin aankhen nam thin manzar sile sile the

    ek chehra tha raushan jaise chand ghaTaon mein

    ek muskan thi jaise bikhren rang fazaon mein

    manzar manzar takta jata chalta jata main

    is manzar se us manzar tak baDhta jata main

    ek taswir ko ruk kar dekha ruk nahin paya main

    is khiDki se us aangan tak jhuk nahin paya main

    jaise is shab chalte rahna qismat Thahri thi

    mere taaqub mein

    yaadon ki pachhal-pairi thi

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now