ek minar gira
Interesting Fact
اسٹالن کی موت پر
'azmat-e-ādam-e-ḳhākī kā parastār girā
ek mīnār girā
jis kī tanvīr ne zarroñ ko 'atā kī tābish
jis kī taqrīr ne toḌā hai tilism-e-zar-o-sīm
jis kī tahrīr ne ik ḳhvāb bunā ḳhvāb-e-sahar
jis kī tā'bīr meñ ik qaum uThī qaum-e-'azīm
vahī sardār vahī qāfila-sālār girā
ek mīnār girā
jis ne farsūda rivāyāt ke aivānoñ meñ
mehnat-o-jashn-e-musāvāt ke parcham lahrā.e
jabr-o-bedād-o-ġhulāmī ke siyah-ḳhānoñ meñ
tābish-e-hurriyat-e-fikr ke fānūs jalā.e
paikar-e-nūr nahīñ ḳhāliq-e-anvār girā
ek mīnār girā
jis ne auhām pe dānish kī kamandeñ Dālīñ
jis kī āvāz pe tūfān biphar jaate the
naazī afvāj ke sailāb ko moḌā jis ne
ġhaiz se jis ke shahanshāh bhī tharrāte the
amn kā koh-e-girāñ sulh kā shahkār girā
ek mīnār girā
apne hāthoñ meñ liye raḳhsh-e-baġhāvat kī 'ināñ
uThā āñdhī kī tarah abr kī sūrat barsā
ab koī puuje na puuje ye likhā jā.egā
amn-o-insāf o musāvāt kā vo devtā thā
de ke manzil kā nishāñ kārvāñ-sālār girā
ek mīnār girā
'azmat-e-adam-e-KHaki ka parastar gira
ek minar gira
jis ki tanwir ne zarron ko 'ata ki tabish
jis ki taqrir ne toDa hai tilism-e-zar-o-sim
jis ki tahrir ne ek KHwab buna KHwab-e-sahar
jis ki ta'bir mein ek qaum uThi qaum-e-'azim
wahi sardar wahi qafila-salar gira
ek minar gira
jis ne farsuda riwayat ke aiwanon mein
mehnat-o-jashn-e-musawat ke parcham lahrae
jabr-o-bedad-o-ghulami ke siyah-KHanon mein
tabish-e-hurriyat-e-fikr ke fanus jalae
paikar-e-nur nahin KHaliq-e-anwar gira
ek minar gira
jis ne auham pe danish ki kamanden Dalin
jis ki aawaz pe tufan biphar jate the
nazi afwaj ke sailab ko moDa jis ne
ghaiz se jis ke shahanshah bhi tharraate the
amn ka koh-e-giran sulh ka shahkar gira
ek minar gira
apne hathon mein liye raKHsh-e-baghawat ki 'inan
uTha aandhi ki tarah abr ki surat barsa
ab koi puje na puje ye likha jaega
amn-o-insaf o musawat ka wo dewta tha
de ke manzil ka nishan karwan-salar gira
ek minar gira
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.