faisla
mirī ham-raqs koī dūsrā sāthī chun le
ye nahīñ hai ki mujhe tujh se mohabbat hī nahīñ
tū mirī 'umr kī kāvish kā sila hai lekin
tire ehsās alag haiñ mire afkār alag
tirā andāz judā hai mirī raftār alag
tujhe maazī kī rivāyāt se nisbat Thahrī
mujhe yak-rangī-e-hālāt se nafrat Thahrī
dard-e-paiham kī javāñ raat kahāñ tak dogī
husn-e-dilkash kī 'ināyāt kahāñ tak dogī
ye hasīñ jism mire vāste sab kuchh to nahīñ
'āriz-o-lab ke ḳharābāt kahāñ tak dogī
paañv kamzor haiñ tum saath kahāñ tak dogī
na sahī merī magar ahl-e-nazar kī sun le
mirī ham-raqs koī dūsrā sāthī chun le
meri ham-raqs koi dusra sathi chun le
ye nahin hai ki mujhe tujh se mohabbat hi nahin
tu meri 'umr ki kawish ka sila hai lekin
tere ehsas alag hain mere afkar alag
tera andaz juda hai meri raftar alag
tujhe mazi ki riwayat se nisbat Thahri
mujhe yak-rangi-e-haalat se nafrat Thahri
dard-e-paiham ki jawan raat kahan tak dogi
husn-e-dilkash ki 'inayat kahan tak dogi
ye hasin jism mere waste sab kuchh to nahin
'ariz-o-lab ke KHarabaat kahan tak dogi
panw kamzor hain tum sath kahan tak dogi
na sahi meri magar ahl-e-nazar ki sun le
meri ham-raqs koi dusra sathi chun le
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.