fard-e-jurm
shaam kā vaqt thā
tū ne jab mere hāthoñ se apnī hathelī
ye kah kar chhuḌā lī ki chhoḌo koī dekh legā
mujh ko hargiz ḳhabar hī nahīñ thī
ki koī kā matlab ḳhudā thā
jo hameñ roz milte hue dekhtā thā
aur ab tū nahīñ
maiñ hī maiñ huuñ yahāñ
aaj solah mahīne guzar ne ko aa.e
tujh ko dekhā nahīñ
tujh ko kyā hī pata mere nuqsān kā
ḳhair achchhā huā
lekin itnī tamanna maiñ siine meñ le kar phirā huuñ
ki ik roz maiñ is himāle kī choTī pe chaḌh kar
ḳhudā se kahūñgā
mirā jurm kyā thā
mirā jurm kyā thā
sham ka waqt tha
tu ne jab mere hathon se apni hatheli
ye kah kar chhuDa li ki chhoDo koi dekh lega
mujh ko hargiz KHabar hi nahin thi
ki koi ka matlab KHuda tha
jo hamein roz milte hue dekhta tha
aur ab tu nahin
main hi main hun yahan
aaj solah mahine guzar ne ko aae
tujh ko dekha nahin
tujh ko kya hi pata mere nuqsan ka
KHair achchha hua
lekin itni tamanna main sine mein le kar phira hun
ki ek roz main is himale ki choTi pe chaDh kar
KHuda se kahunga
mera jurm kya tha
mera jurm kya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.