Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

fariyaad (fariyaadi aashna hai)

Qaisar Siddiqi

fariyaad (fariyaadi aashna hai)

Qaisar Siddiqi

MORE BYQaisar Siddiqi

    kahāñ ho 'ġhālibo' 'mīro' 'nazīro'

    kahāñ ho merī zulfoñ ke asīro

    merī sahbā ke paimāno, kahāñ ho

    kahāñ ho mere dīvāno kahāñ ho

    kahāñ ho ālimo masnad-nashīno

    mire ḳhvān-e-atā ke reza-chīno

    sila kuchh to vafā do kahāñ ho

    kahāñ ho mere shahzādo kahāñ ho

    kahāñ ho ai mire dar ke gadāo

    kam-az-kam apnī sūrat to dikhāo

    ki meñ lāchār ho kar rah ga.ī huuñ

    bahut bīmār ho kar rah ga.ī huuñ

    kahāñ ho ai qalam-kāro, jiyālo

    mujhe kursī-nashīnoñ se bachā lo

    ye mujh se duur hote rahe haiñ

    bahut maġhrūr hote rahe haiñ

    mirī roTī pe hotā hai guzārā

    magar chhoḌā hai mujh ko be-sahārā

    sila apnī vafā chukī huuñ

    meñ un ke ghar se rāñdī chukī huuñ

    haqīqat hai ki meñ us amiiñ huuñ

    ye ghar merā hai lekin maiñ nahīñ huuñ

    mire naam se ohda milā hai

    mire sadqe meñ in tantana hai

    magar ye mujh ko khāte rahe haiñ

    mirī hastī miTāte rahe haiñ

    suhāgan thī abhāgan ho ga.ī huuñ

    meñ dar dar bhikāran ho ga.ī huuñ

    kahan ho 'ghaalibo' 'miro' 'naziro'

    kahan ho meri zulfon ke asiro

    meri sahba ke paimano, kahan ho

    kahan ho mere diwano kahan ho

    kahan ho aalimo masnad-nashino

    mere KHwan-e-ata ke reza-chino

    sila kuchh to wafa ka do kahan ho

    kahan ho mere shahzado kahan ho

    kahan ho ai mere dar ke gadao

    kam-az-kam apni surat to dikhao

    ki mein lachaar ho kar rah gai hun

    bahut bimar ho kar rah gai hun

    kahan ho ai qalam-karo, jiyalo

    mujhe kursi-nashinon se bacha lo

    ye mujh se dur hote ja rahe hain

    bahut maghrur hote ja rahe hain

    meri roTi pe hota hai guzara

    magar chhoDa hai mujh ko be-sahaara

    sila apni wafa ka pa chuki hun

    mein un ke ghar se randi ja chuki hun

    haqiqat hai ki mein us ki amin hun

    ye ghar mera hai lekin main nahin hun

    mere hi nam se ohda mila hai

    mere sadqe mein in ka tantana hai

    magar ye mujh ko khate ja rahe hain

    meri hasti miTate ja rahe hain

    suhagan thi abhagan ho gai hun

    mein dar dar ki bhikaran ho gai hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now