Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

faryaadat

Jagan Nath Azad

faryaadat

Jagan Nath Azad

MORE BYJagan Nath Azad

    fāsle to ḳhair baat hai aur

    Hyderabad dil se duur nahīñ

    dillī meñ yuuñ zabān pe aa.ī dakan baat

    sahrā meñ chheḌ deve koī jaise chaman baat

    bazm-e-ḳhirad meñ chhiḌ to ga.ī hai dakan baat

    ab ishq le ke aa.egā dār-o-rasan baat

    ik husn-e-dakan thā jo nigāhoñ se na chhūTā

    har husn ko varna ba-ḳhudā chhoḌ ga.e ham

    'āzād' ek pal bhī na dil ko sakūñ milā

    raste meñ dakan bhī thā kahīñ lucknow ke baa'd

    'āzād' phir dakan samundar hai rū-ba-rū

    le dil-o-nazar safīna sañbhāl kar

    fasle ki to KHair baat hai aur

    Hyderabad dil se dur nahin

    dilli mein yun zaban pe aai dakan ki baat

    sahra mein chheD dewe koi jaise chaman ki baat

    bazm-e-KHirad mein chhiD to gai hai dakan ki baat

    ab ishq le ke aaega dar-o-rasan ki baat

    ek husn-e-dakan tha jo nigahon se na chhuTa

    har husn ko warna ba-KHuda chhoD gae hum

    'azad' ek pal bhi na dil ko sakun mila

    raste mein dakan bhi tha kahin lucknow ke ba'd

    'azad' phir dakan ka samundar hai ru-ba-ru

    le ja dil-o-nazar ka safina sanbhaal kar

    Source:

    Hyderabad Shora ke Aine Men (Pg. (e) 19 )

      • Edition: 1991
      • Year of Publication: 1991
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now