Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

fasana-e-adam

Jameel Mazhari

fasana-e-adam

Jameel Mazhari

MORE BYJameel Mazhari

    maiñ thā zamīr-e-mashiyyat meñ ek azm-e-jalīl

    hanūz shauq karvaT bhī na thī maiñ ne

    ki daf.atan mut.harrik hue lab-e-taḳhlīq

    pakaḌ sūrat-e-zāhir vajūd maiñ ne

    vo sub.h-e-ālam-e-hairat vo jalva-zār-e-bahisht

    havā chaman lagī aañkh khol maiñ ne

    vo tarbiyat-gah-zauq-e-nazar, vo vādī-e-nūr

    jahāñ se paa.ī mohabbat raushnī maiñ ne

    vo unfuvān-e-tamannā vo ibtidā-e-junūn

    vo ik ḳhalish jise samjhā thā zindagī maiñ ne

    kiyā surūr ne ik ālam-e-digar paidā

    churā ke jo mai-e-sarkash-e-ḳhudiī maiñ ne

    ḳhudī ke nashshe meñ allāh re be-ḳhudī merī

    badan se chādar-e-ismat bhī pheñk maiñ ne

    huā hudūd-e-nazar se nikal ke āvāra

    havā-e-shauq meñ jannat bhī chhoḌ maiñ ne

    farishte rah ga.e hairat se dekhte mujh ko

    na qubūl mashiyyat rahbarī maiñ ne

    dalīl-e-rāh banī apnī garmī-e-parvāz

    ki tāqat-e-par-e-jibrīl chhīn maiñ ne

    baḌhīñ sitāroñ duniyā.eñ mere lene ko

    utar ke arsh se nīche nazar jo maiñ ne

    magar zamīñ kashish ne sū-e-zamīñ khīñchā

    kiyā pasand ye zindān-e-unsurī maiñ ne

    jagah milī jo taḌapne be-qarārī ko

    to phir hudūd meñ vus.at daad maiñ ne

    huā talātum-e-hastī ba-ālam-e-zarrāt

    chhiḌak ḳhāk-e-bayābāñ pe zindagī maiñ ne

    numū ke josh se saudā-e-rañg-o-bū niklā

    zamīñ ke dil tamannā nikāl maiñ ne

    huiiñ jahān-e-amal meñ sharī.ateñ paidā

    ḳhudā ke naam pe barpā jo ḳhudī maiñ ne

    kabhī jalā.ī añdhere meñ sham.a-e-ilm-o-amal

    kabhī bujhā hidāyat raushnī maiñ ne

    kabhī bigāḌ ke rakh diiñ savāb shakleñ

    kabhī badal haqīqat gunāh maiñ ne

    baḌhā to rah gayā pīchhe mire zamāna-e-hāl

    rukā to vaqt rafta rok maiñ ne

    zamīñ pe shauq ke fitne bichhā diye har

    fazā meñ niiñd mastī bikher maiñ ne

    kabhī jagā qayāmat nafas Thokar se

    uThā ke sūr-e-sarāfīl-e-zindagī maiñ ne

    junūñ ke josh meñ parde nazar ke chaak kiye

    naqāb noch ke fitrat pheñk maiñ ne

    qabā-e-laila-e-tahzīb chaak kar Daalī

    ridā-e-maryam-e-ismat utaar maiñ ne

    mizāj-e-ātish-e-sozāñ ko kar diyā ThanDā

    machā bazm-e-anāsir meñ khalbalī maiñ ne

    liyā shahanshah-e-ḳhāvar se raushnī ḳhirāj

    kiyā asiir tabī.at ko barq maiñ ne

    ba-inqalāb-e-tabī.at mizāj-e-āhan ko

    havā garmī-e-parvāz baḳhsh maiñ ne

    bulandiyoñ tasavvur bhī rah gayā pīchhe

    pahuñch ke itnī bulandī pe saañs maiñ ne

    ThiThuk ga.iiñ jo nigāheñ qarīb hujla-e-quds

    pas-e-hijāb-e-adab ye sadā sunī maiñ ne

    ki ai harīf-e-mashiyyat ba-va.ada-gāh-e-azal

    Thahar Thahar tirī parvāz dekh maiñ ne

    main tha zamir-e-mashiyyat mein ek azm-e-jalil

    hanuz shauq ki karwaT bhi li na thi main ne

    ki dafatan mutharrik hue lab-e-taKHliq

    pakaD li surat-e-zahir wajud ki main ne

    wo subh-e-alam-e-hairat wo jalwa-zar-e-bahisht

    hawa chaman ki lagi aankh khol di main ne

    wo tarbiyat-gah-zauq-e-nazar, wo wadi-e-nur

    jahan se pai mohabbat ki raushni main ne

    wo unfuwan-e-tamanna wo ibtida-e-junun

    wo ek KHalish jise samjha tha zindagi main ne

    kiya surur ne ek aalam-e-digar paida

    chura ke pi jo mai-e-sarkash-e-KHudii main ne

    KHudi ke nashshe mein allah re be-KHudi meri

    badan se chadar-e-ismat bhi phenk di main ne

    hua hudud-e-nazar se nikal ke aawara

    hawa-e-shauq mein jannat bhi chhoD di main ne

    farishte rah gae hairat se dekhte mujh ko

    na ki qubul mashiyyat ki rahbari main ne

    dalil-e-rah bani apni garmi-e-parwaz

    ki taqat-e-par-e-jibril chhin li main ne

    baDhin sitaron ki duniyaen mere lene ko

    utar ke arsh se niche nazar jo ki main ne

    magar zamin ki kashish ne su-e-zamin khincha

    kiya pasand ye zindan-e-unsuri main ne

    jagah mili jo taDapne ki be-qarari ko

    to phir hudud mein wusat ki dad di main ne

    hua talatum-e-hasti ba-alam-e-zarraat

    chhiDak di KHak-e-bayaban pe zindagi main ne

    numu ke josh se sauda-e-rang-o-bu nikla

    zamin ke dil ki tamanna nikal di main ne

    huin jahan-e-amal mein shariaten paida

    KHuda ke nam pe barpa jo ki KHudi main ne

    kabhi jalai andhere mein shama-e-ilm-o-amal

    kabhi bujha di hidayat ki raushni main ne

    kabhi bigaD ke rakh din sawab ki shaklen

    kabhi badal di haqiqat gunah ki main ne

    baDha to rah gaya pichhe mere zamana-e-haal

    ruka to waqt ki rafta rok di main ne

    zamin pe shauq ke fitne bichha diye har su

    faza mein nind ki masti bikher di main ne

    kabhi jaga di qayamat nafas ki Thokar se

    uTha ke sur-e-sarafil-e-zindagi main ne

    junun ke josh mein parde nazar ke chaak kiye

    naqab noch ke fitrat ki phenk di main ne

    qaba-e-laila-e-tahzib chaak kar Dali

    rida-e-maryam-e-ismat utar li main ne

    mizaj-e-atish-e-sozan ko kar diya ThanDa

    macha di bazm-e-anasir mein khalbali main ne

    liya shahanshah-e-KHawar se raushni ka KHiraj

    kiya asir tabiat ko barq ki main ne

    ba-inqalab-e-tabiat mizaj-e-ahan ko

    hawa ki garmi-e-parwaz baKHsh di main ne

    bulandiyon ka tasawwur bhi rah gaya pichhe

    pahunch ke itni bulandi pe sans li main ne

    ThiThuk gain jo nigahen qarib hujla-e-quds

    pas-e-hijab-e-adab ye sada suni main ne

    ki ai harif-e-mashiyyat ba-wada-gah-e-azal

    Thahar Thahar teri parwaz dekh li main ne

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now