Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghair-mutawaqqa mulaqat

Abu Bakr Abbad

ghair-mutawaqqa mulaqat

Abu Bakr Abbad

MORE BYAbu Bakr Abbad

    Interesting Fact

    1860

    barsoñ ba.ad jab us ko dekhā phuul chehra badal chukā thā

    peshānī par fikr aayat āñkheñ ab sanjīda thiiñ

    hoñT kañval ab bhī vaise par shādābī kuchh kam kam thī

    pakke phaloñ bojh uThā.e jism tanā bal khātā thā

    rañgīñ pairāhan meñ ab bhī

    ḳhvāb sūrat lagtī thī

    jaane kaisī kaisī hikāyat dekh use yaad aatī thī

    pahlī daf.a jab saath the baiThe class ke andar ham donoñ

    us ke jism ke lams ne mujh ko

    pahle to bulāyā thā phir pakkā dost banāyā thā

    shaam talak mele meñ kaise phirte rahe the idhar-udhar

    raat ga.e mammy ne us ko khoTī-kharī sunā.ī thī

    rail ke andar baiTh ke kaise sharmā.e ghabrā.e the

    baġhair ticket ke pahuñch ke ghar par kitnī mauj manā.ī thī

    dopahar ko Dhābe meñ

    chaa.e aur cigarette ke saath

    thoḌe se rūmānī ho kar

    kyā kyā bāteñ karte the

    ghar ke bāhar lawn bhī hogā geñdā aur gul-mohar ke phuul

    kharī khaaT nahīñ rakheñge bed baḌe mahñge hoñge

    suiT mirā aisā hogā terī saarī resham

    beTe jo naam rakheñge hindū na muslim hogā

    bil chukāte vaqt meñ aksar paise kam paḌ jaate the

    dekh ke daddū hañstā thā phir

    jaane kyuuñ ḳhush hotā thā

    koī baat nahīñ hai beTe

    kal jab aao de jaanā

    jaate hue jab seTh ne us kamar meñ baazū pahnāyā

    dekh ke us āñkheñ mujh ko chhalak paḌī thiiñ chup ke se

    soch rahā thā palaT ke ab vo

    pūchhegī tum kaise ho

    ye hai aap coffē sāhab aur bhī kuchh chahiye hogā

    barson baad jab us ko dekha phul sa chehra badal chuka tha

    peshani par fikr ki aayat aankhen ab sanjida thin

    honT kanwal ab bhi waise par shadabi kuchh kam kam thi

    pakke phalon ka bojh uThae jism tana bal khata tha

    rangin pairahan mein ab bhi

    KHwab ki surat lagti thi

    jaane kaisi kaisi hikayat dekh use yaad aati thi

    pahli dafa jab sath the baiThe class ke andar hum donon

    us ke jism ke lams ne mujh ko

    pahle to bulaya tha phir pakka dost banaya tha

    sham talak mele mein kaise phirte rahe the idhar-udhar

    raat gae mammy ne us ko khoTi-khari sunai thi

    rail ke andar baiTh ke kaise sharmae ghabrae the

    baghair ticket ke pahunch ke ghar par kitni mauj manai thi

    dopahar ko Dhabe mein

    chae aur cigarette ke sath

    thoDe se rumani ho kar

    kya kya baaten karte the

    ghar ke bahar lawn bhi hoga genda aur gul-mohar ke phul

    khari khaT nahin rakhenge bed baDe mahnge honge

    suiT mera aisa hoga teri sari resham ki

    beTe ka jo nam rakhenge hindu na muslim hoga

    bil chukate waqt mein aksar paise kam paD jate the

    dekh ke daddu hansta tha phir

    jaane kyun KHush hota tha

    koi baat nahin hai beTe

    kal jab aao de jaana

    jate hue jab seTh ne us ki kamar mein bazu pahnaya

    dekh ke us ki aankhen mujh ko chhalak paDi thin chup ke se

    soch raha tha palaT ke ab wo

    puchhegi tum kaise ho

    ye hai aap ki coffee sahab aur bhi kuchh chahiye hoga

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now